Pages

Friday 5 August 2011

Bad Effects Of Nocturnal Ejaculation

Albatta agar yeh 6, 7 saal ki umer mein shuru ho jaey to phir kisi mahir urologist sey mashwara kar liye jaey.

Ehtelam (Nocturnal Ejaculation) waley khush qismat hain kyun kay woh iss tarah mani kay ikhraj ki wajah sey khud lazzati aur zina sey bach jatey hain. Yeh rozana ho sakta hai bul kay ek raat mein do teen baar bhi ho sakta hai. Ek mashhoor muhaqqiq Kinsey kay survey kay mutabiq yeh ek haftey mein 12 dafa bhi ho sakta hai. Yeh na sirf naujawanon ko hota hai bul kay 70 saala boorhey, jis ko mubashrat ka moqa nahin milta, ko bhi ho sakta hai. Ta'hum yeh chahey kitni hi martaba kyun na ho ek normal amal hai, kyun kay mani ka ikhraj ek sehat mand amal hai. Insan ki sehat per iss kay koi burey asraat nahin partey. Saarey doctors, reasearchers, mahireen e nafsiyat aur jadeed ilm sey aagaah hakeem iss baat sey poori tarah ba khabar hain kay Ehtelam koi nuqsan deh cheez nahin. Chuna'ncha yeh baat poorey daawey sey kahi ja sakti hai kay Ehtelam kay kisi bhi tarah kay burey asraat nahin.

Allbatta neem hakeem naujawano ko Ehtelam kay farzi burey asraat aur tabahkaariyon sey khauf zada kar detey hain, jin mein sey chund yeh hain_

Ehtelam sey dimagh aur hafiza kamzor ho jata hai._parhney ko dil nahin karta (parhney ko kis talib ilm ka dil karta hai) yaad kya hua yaad nahin rehta_beenaee kamzor ho jati hai_a'asaab kamzor parr jatey hain_fard khauf aur ghabraahat ka shikar ho jata hai_uss kay dil ki dharkan taez ho jati hai_aankhon kay aagey andhera cha jata hai_chusti, chalaki khatam ho jati hai_chehra bey ronaq ho jata hai_badan susu aur kamzor parr jata hai_fard zara si mehnat sey thak jata hai_kisi kaam mein dil nahin lagta.

No comments:

Post a Comment