Pages

Sunday 21 August 2011

Breast Examination - Chaati Ka Muaina

Woh aurtein jo choti age mein bachey paeda karti hain aur woh aurtein jo bachon ko apna doodh pilati hain woh iss beemari sey mehfooz rehti hain. Agar iss beemari ka initial stage mein pata chal jaey to 10 mein sey 9 mareez sehatiyab ho jatey hain. Iss beemari ki diagnosis aap khud bhi kar sakti hain. Iss kay liye zaroori hai kay har khatoon apni pistaan (Breast) ka baqaida examination karey. Yeh examination har month mein ek baar zaroor hona chahiyie. Takay jitni jaldi pata chal jaey ga elaj bhi itna hi aasan hoga. Mahwaari (menses) kay doran examination nahi karna chahiyie kyun kay iss doran pistaan (Breast) mein fitri tor per lumps mojood hotey hain. Lehaza examination mahwaari (menses) sey pehley ya baad mein kya jaey. (Woman's Body)

Chaati Ka Muaina (Breast Examination)

Monthly examination kay liye apni shirt utaar kay ek big mirror kay samney kharey ho jaein. Arms donon side per latkey huey hun aur phir bari bari apney donon pistaan (Breast) ko ghor sey dekhein kay kahiin pistaan (Breast) ki external side per koi irregularities to nahi. Kahin koi dimple, puckering ya koi swelling waghaera to nahi. Phir arms ko head sey ooper uthaein aur doobara inn cheezon ko check karein. Dekhein kay nipples mein koi change to nahi. Agar koi irregularity nazar aaey to foran doctor sey contact karein. Phir palm ko nipples kay ooper rakh kay aram sey dabaein. Usually aurton kay donon pistaan (Breast) baraber nahi hotey hain

No comments:

Post a Comment