Pages

Friday 5 August 2011

Lack Of Sex Education

Aala ta'aleem kay ba'ad America sey wapsi per meine Bahawalpur division kay ek chotey sey sheher Chishtiya'n main apna anfsiyati clinic shuru kya. Mera pehla mareez ek ma'amooli parha likha dehaati naujawan tha jis ki inhi dino'n shadi hui thi magar yeh naujawan kaee maah guzarney kay bawajood apni biei sey azdawajii ta'alluqaat qa'em karney mein kaamyaab na hosaka. Doctors kay mutabiq woh bilkul normal tha yani usey koi jismani masla nahi tha. Pehli mulaqat mein uss kay masley per amoomi guftugoo hui phir usey elaj kay liye chund din ba'ad bulaya magar who na aaya, mein bhi uss naujawan ko bhool gaya. Ek maah ba'ad achanak uss kay barey bhaee sey mulaqat hui, meine uss naujawan kay muta'alliq poocha, uski aankh sey aansoo nikal aaey uss ney aansoo ponchtey huey bataya kay uss ney khudkushi karli.

Dar asal woh abhi tak azdawajii ta'alluqaat qa'em na kar paya tha, uss ko yaqeen tha kay who iss qaabil nahin haala'n kay uss kay saarey tests normal thay, phir sharmindagi sey bachney kay liye ek andheri raat biwi ko ley kar ga'on sey baher aaya pehley biwi ko ek darakht kay sath latka diya phir khud bhi ussi darakht kay sath jhool gaya. Haqeeqat yeh thi kay usey koi jinsi masla nahin tha, uska masala sirf nafsiyati tha. Uss ney humein mohlat na dii kay hum uski madad kartey haala'n kay aaj kay ilmi daur mein iss tarah kay masley ko aasaani sey hal kya ja sakta hai. Hum iss tarah kay masail har roz hal kartey hain.

No comments:

Post a Comment