Pages

Sunday 21 August 2011

Male Genitalia: Prostate Gland - Cowper Gland


Mard kay masaney ki pichli taraf do naaliyan hoti hain jin ko (seminal fluid) ki thaeliyan (seminal vesicles) kaha jata hai, mani ka ek hissa inn naaliyon mein tayyar hota hai, yeh naaliyan har waqt kam karti rehti hain, jis ki wajah sey mani ki tayyari ka amal har waqt jari rehta hai. Yeh naaliyan amooman 3.5 din ba'ad bhar jati hain.

Masaney kay mu'nh kay qareeb ek ghudood hota hai jisey prostate gland kaha jata hai iski shakal akhrot jisi hoti hai yeh sirf mardon mein hota hai, aurton mein nahin hota. Iss mein inzal kay waqt ek khas ratoobat nikalti hai jo mani mein shamil ho kar iska hissa ban jati hai. Prostate ki ratoobat mein sperms kay liye khoorak hoti hai. Prostate gland kay neechey peeshab ki nali kay qareeb ek aur gland hota hai jo cowper's gland kehlata hai. Jinsi haejaan mein ya inzal sey pehley yeh gland shaffaf ratoobat kay ek do qatrey kharij kar deta hai.

No comments:

Post a Comment