Pages

Friday 5 August 2011

Male Genitalia: Testicles - Mardana Jinsi Aaza

(Mardana jinsi aaza) mein doosra ahem uzu (khusyey) hotey hain. Yeh do goliyon ki surat mein ek theli khusya dani (scrotum) kay ander zakar kay neechey latak rahey hotey hain. Inhein hath sey mehsoos kya ja sakta hai. Amooman baya'n khusya da'ein sey qadrey bara hota hai aur iss sey kuch neechey hota hai. Khusyon mein do tarah kay cell hotey hain. Ek qism jinsi hormone ) paeda karti hai jis sey fard mein jinsi khwahish (

Paeda'esh sey pehley yeh khusyey bachey kay paet mein hotey hain, bachey ki paeda'esh sey thori der pehley yeh paet sey uter kar khusya dani mein aa jatey hain. Kabhi kabhar aisa bhi hota hai kay sirf ek hi khusya paet sey khusya dani mein aa jata hai doosra paet mein reh jata hai. Iss ko neechey laney kay liye operation ki zaroorat parti hai. Agar kisi wajah sey doosra khusya, khusya dani (scrotum) mein na aa sakey to bhi preshan honay ki zaroorat nahi kyun kay ek khusya bhi na sirf tamam jinsi af'aal kamyabi sey anjam dey sakta hai bul kay aulad bhi paeda kar sakta hai. Merey ek client ka sirf ek hi khusya th aur uski jinsi karkardagi munasib thi.

Agar kisi wajah sey donon khusyey (testicles), khusya dani mein na utrein jo kay bohut hi kam hota hai to fard bachey to paeda na kar sakey ga, albatta mubashrat kar sakey ga. Iss liye walaedaen kay liye zaroori hai kay bachey paeda honay kay ba'ad bachey kay khusyon ko zaroor tatol kar check kar lein. Agar kisi wajah sey khusyey neechey na utrey hun to 2 saal ki umer tak bachey ka operation kara liye jaey ta'kay khusyey neechey uter aaein.

No comments:

Post a Comment