Pages

Sunday 21 August 2011

Menses Cycle - Haezi Chakkar - Mahwaari

Mahwaari (menses) kay elawa kisi beemari ki wajah sey bhi khoon aata hai jis sey istihaza kehtey hain aur child birth kay baad aaney wala khoon nifas kehlata hai. (Mobeen)

Menses cycle usually 28 din ka hota hai. Yani har 28 din kay baad mahwaari (menses) hoti hai. Magar baaz khawateen ka cycle kam days (22 days) aur baaz ka zyada (40 days) ka bhi ho sakta hai. Yeh badal bhi sakta hai yani kabhi 28 days aur kabhi 32 days ka. Yeh sab kuch normal hai. Mahwaari kay shuru mein red aur blackish khoon aata hai. Yani yeh khoon bilkul red nahi hota shuru mein yeh zyada aata hai magar ek din baad iss ki miqdar kam hojati hai. 3rd aur 4th day iss ka colour change ho jata hai. Hatta ka yeh ratoobat bilkul khatam ho jati hai. Iss ki miqdar sab larkiyon mein baraber nahi hoti. Kisi ka zyada aur kisi ka kam. Mahwaari (menses) sara khoon nahi hota. Iss mein 50% khoon aur baqi doosra material hota hai aur yeh khoon doosrey khoon ki tarhan jamta nahi hai. (Pregnancy) kay doran mahwaari (menses) band hojati hai. Magar baaz auqat jari rehti hai. Aisa bohut hi kam hota hai. Iss mein pareshan honay ki zaroorat nahi aur na hi iss ka elaj karaney ki zaroorat nahi. Mahwaari (menses) ka silsila usually 45 years tak chalta hai aur phir band ho jata hai. Kabhi kabhi mahwaari (menses) shuru honay kay waqt iss kay cycle mein kharabi hojati hai. Baaz larkiyon ko zindagi mein first time mahwaari (menses) aaney kay baad 2nd time ya next time mahwaari (menses) 28 din kay baad nahi aati bul kay kuch haftey (weeks) ya kuch months kay baad aatey hain. Kuch larkiyon ko shuru hi sey mahwaari (menses) baqaida waqt per aaney lagti hai.

No comments:

Post a Comment