Pages

Sunday 21 August 2011

Menses - Mahwaari

kiya jab aurat ko ehtelam ho to usper nahana wajib hai. Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya han, jab pani dekhey (Bukhari, Muslim) taham iss sey roza nahi tootta.

Mahwaari (menses)

Mein club sey wapis aya hi tha ka biwi ney mujhey bataya kay meri ek cousin aaj bey hosh ho gaee aur iss ko doctor kay pass ley jaya gaya. Mein pareshan ho gaya aur foran doctor sey contact kya aur maloom hua kay usko first time mahwaari (menses) aaee hai. Chunkey iss ko iss ka kuch pata nahi tha iss liye woh khoon dekh kar khauf zada ho kar bey hosh hogaee. Larki jab baloghat ki manzil mein dakhil hoti hai to iss kay jism mein ahem tareen change yeh aata hai kay iss ko mahwaari (menses) aaney lagti hai. Yeh ek fitri function hai. Yeh Allah ka inam hai kay iss sey aurat ki takmeel ho jati hai aur woh mother banney kay qabil ho jati hai. Mother jo duniya mein sab sey mohtaram hasti hai, jis kay qadmon mein jannat hai.

Mahwaari (menses) usually 6 ta 16 saal ki umer mein shuru hoti hai. Zyada tar larkiyon ko 10 ta 14 saal kay doran shuru hoti hai jo usually 2 ta 8 din aur zyada tar 4 ta 6 din jari rehti hai. Agar yeh 18 saal kay baad bhi shuru na ho to kisi doctor sey mashwara kya jaey. Larkiyon ko iss age sey pehley iss ka pata hona chahiyie takay woh khaufzada ho kay beyhosh na hojaein. Mahwaari (menses) ki duration Islam mein kam sey kam 3 din aur 3 raat hai yani poorey 72 hours aur zyada sey zyada 10 din aur 10 raat hai. Imam Maalik aur Imam Shafai kay nazdeek ek mahwaari (menses) ki zyada sey zyada duration 15 din hai jab kay Imam Abu Hanifa kay nazdeek 10 din hai.

No comments:

Post a Comment