Pages

Friday 5 August 2011

Misconceptions About Seminal Fluid

Mani Ek Qeemti Cheez Hai – Khoon Sey Bhi Qeemti?

Neem Hakeemon ka khayal kay mutabiq mani (seminal fluid) johar-e-hayat aur ek bohut qeemti cheez hai. Famous formula hai kay 100 qatrey (drops) desi ghee ka to ek drop khoon ka aur 100 qatrey (drops) khoon kay to ek drop mani (seminal fluid) ka. Yani mani (seminal fluid) ka behna khoon kay behney sey bhi zyada qeemti hai. Mera ek naujawan client es khayal ki wajha sey pagal hogaya kyun ka iss ka khayal tha ka yeh ek bohut qeemti cheez hai. Ek bar yeh naujawan musht zani (masturbation) kar raha tha. Inzaal (ejaculation) ka kareeb esko khayal aya ka to ek bohut qeemti cheez hai to esna mani (seminal fluid) ko collect kara aur drink kargaya.

Latest research sey sabit howa hai ka mani (seminal fluid) quwwat-e-hayat nahi aur na hi yeh khoon sey qeemti hai aur na hi iss ka khoorak kay sath direct koi ta'alluq hai. Agar hota to ghareebon kay bachey paeda hi nahi hotey. Mardana kamzori ki wajha sey enki biwiyan bhag jatin. Ek Indian doctor Kaiwal Dheer nai hisab kitab kar kay andaza lagaya hai ka agar mani (seminal fluid) waqai khoon sey qeemti hai to ek bar inzal (ejaculation) sey khoon ki ek bottle (500ml) nikal jati hai. Bohut sey logon nai kabhi na kabhi din mein 2 bar musht zani (masturbation) zaror kari hogi. Iss surat mein 2 bottles khoon ki nikalnay kay baad woh zinda kaisay rahey. Mera woh client jo din mein 15 bar tak kar leta tha isey to kisi bhi surat zinda nahi hona chahiya jab kay woh na sirf zinda hai bul kay healthy hai aur bachey paeda kar raha hai. Darasal mani (seminal fluid) thook sey ziyda qeemti nahi aur iss ka banney mein jism ki etni hi taqat sarf hoti hai jitni thook bananey mein.

No comments:

Post a Comment