Pages

Friday 5 August 2011

Misconceptions About Seminal Fluid

  1. Ahsas e kamtari tari hojati hai aur kisi sey ankh mila ka bat karna ka hosla nahi rehta.
  2. Gatherings mein janey sey khouf sa mehsoos hota hai.

Mani (seminal fluid) johar e hayat hai iss kay zaya honay sey zindagi ka chiragh timtimaney lagta hai aur isski roshni kam honay lagti hai.

Yeh Sab Ghalat Hai:

Agar aap kabhi Sunday kay newspapers kay ads aur dewari ads ka jaeza lein to mehsoos hoga kay sari nation jinsi mareez hai aur iss nation ka sab sey bara problem jiryan hai. Naujawan iss kay elaj per hazaron rupee kharch kar detey hain magar kuch farq nahi parta. Haqeeqat yeh hai kay yeh koi beemari nahi yeh urethral gland sey nikalney wala material hota hai jo usually uss waqt nikalta hai jab insan peeshab ya stool kay liye zor lagata hai. Baz auqat sexual stimulation ya ehtilam waghaera ki wajah sey kuch mani (seminal fluid) kharij ho jati hai chun key peehsab ki naali seedhi nahi bul kay English kay letter S ki shakal ki hai jiski wajah sey sari mani (seminal fluid) kharij nahi hoti bul kay mani (seminal fluid) kay 1 ya 2 qatrey (drops) peeshab ki naali kay neechey waley curve hissey mein reh jati hain. Chunkay urine aur mani (seminal fluid) kay ikhraj ka ek hi rasta hai chunacha baad mein jab insan urine pas karta hai to yeh bachi hui mani (seminal fluid) urine ka pehla drop kay sath bahir aa jata hai.

Medical science ki nazar mein jiryan ki koi ahmiyat nahi aur na hi yeh kisi beemari ya kamzori ki alamat hai iss kay elaj ki koi zarorat nahi kyun kay yeh ek natural process hai.

No comments:

Post a Comment