Pages

Friday 5 August 2011

Musht zani Kay Masail Aur Jinsi Kamzori

Jab kay aurtein 5 ta 10 minute mein jinsi urooj () hasil karti hain.

Khud lazzati/musht zani (masturbation) kay hawaley sey humarey haan bohut sey gumraahkun aur ghalat tasawwuraat (myths) aur kahaniyan phaeli hui hain jin sey naujawan bohut zyada khaufzada hain magar woh shadi tak usey control nahin kar saktey.

Musht zani kay hawaley sey humarey naujawan do qism kay masail ka shikar hain.

  1. Jinsi, jismani aur zehni kamzori ka ehsaas aur khauf
  2. Shadeed ehsaas e gunah

Musht zani Ki 'Tabahkaariyan'

Musht zani kay mafrroza nuqsan kay hawaley sey jitney qissey, kahaniyan aur afsaaney (myths) mashhoor hain shayed hi kisi aur cheez siwaey hypnotism kay mashhoor hun gey. Urdu mein sex ki kitab utha kar dekh lijiyie woh musht zani kay farzi nuqsaanaat sey bhari hui hain jin mein sey chend ek darj zeal hain.

Homeo Dr. Asghar Ali Chaudhri likhtey hain.

Musht zani sey khudaetmaadi aur quwwat e iradi khatam ho jati hai. Dimagh aur beenaee kamzor ho jati hai. Zehni uljhanein barh jati hain. Fard tanhaee pasand ho kar zindagi kay hungamo'n sey kinara kash ho jata hai. Uzu ki makhsoos rugein ubhar aati hain aur taerha pan ho jata hai.

1 comment:

  1. JANIYE
    Musht Zani ke Nuqsanat
    Musht Zani ko chorhney ke tarikey
    Musht Zani se hue Nuqsanat ka Elaj
    Roohani Elaj
    Musht Zani or Islam
    https://www.facebook.com/mushtzani.ke.nuqsanat

    ReplyDelete