Pages

Friday 5 August 2011

Musht zani (Masturbation) Kay Mafroozaat Aur Nafsiyati Uljhan

Badni safaee ka khayal nahin rakhta. Shaadi kay naam sey ghabhrata hai. Jawan aurat sey baat karety huey uss ko paseeney aaney lagtey hain aur dil dhak dhak karney lagta hai. Who tashweesh ki uljhan mein mubtala ho jata hai. Bus mein safar kar raha ho to darta rehta hai kay kahin is ski takkar na ho jaey. Cinema mein betha ho to ooper dekhta hai kay kahin chutt na gir parrey. Iss kay iqdaam aur paeshraft ki quwwat slab ho jati hai aur iss mein mareezana jhijhak paeda ho jati hai. Nafsiyati rukawat kay ba'es woh ma'amooli sa kaam bhi saleeqey sey nahin kar sakta, maslan taxi waley ko awaz detey waqt, khirrki sey ticket khareedtey waqt, rail mein sawar hotey huey, public toilet ko istemal kartey waqt ghabhra jata hai. Woh na kisi kay mazaq per khul kar hans sakta hai aur na kisi museebat mein kisi sey izhar e hamdardi kar sakta hai. Uss ki khamoshi kay ba'es log usey mutakabbir samjhney lagety hain kyun kay woh uss kay ajeeb o ghareeb tarz e amal kay asal asbaab sey na waqif hotey hain. Usey apni alamnak haalat ka ehsas hota hai. Who zindagi kay haqa'eq sey g uraez kar kay barey barey buland nasb ul ain apna leta hai aur hero banney kay khwab dekhney lagta hai. Adbi zoq sey behra war hoto meyar sey gira hua adab takhleeq karta hai. Uss kay ehsaas sey zakawat aur takhayyul mein khwabnaaki si aajati hai. Who uskay shaeron aur qisson mein bhi raqeeq jazbatiyat aur alamnaak afsurdagi ka rung b harti rehti hai.

200 saal qabal maghrib mein bhi isi tarah ki beyshumar bey sar o pa baatein mashhoor thiin kay musht zani sey insaan pagal ho jata hai. (ek baar ek aalim ney ek pagalkhaney mein ek pagal ko musht zani kartey huey dekha to nateeja nikala kay musht zani sey insaan pagal ho jata hai)

No comments:

Post a Comment