Pages

Friday 5 August 2011

Musht zani (Masturbation) Kay Masail Aur Farzi Nuqsanaat

Darmiyan mein sey patla ho jata hai. Aisey larkey jawan ho kar amooman akhlaqi mujrim ban jatey hain. Muta'alla karney ko jii nahin chahta. Kuch yaad nahin rehta. Bey chaeni, udaasi, afsurdagi, mayoosi, ghabhrahat aur jhijhak iss per tari ho jati hai. Khelon mein hissa leney sey katratey hain. Musht zani sey tak amraz paeda ho saktey hain, maeda kharab ho jata hai, bhook marr jati hai. Raat ko wehshatnaak khwab aatey hain. Chehra har waqt bey ronaq rehta hai, gaal pichak jatey hain aur zinda laash ban kar reh jata hai.

Ma'aroof likhari aur ustaad Ali Abbas Jalalpoori irshad farmatey hain:

Kasrat e jalaq bilashuba ek naukhaez jism aur zehen kay aksar awariz ka sabab ban jati hai. 12, 13 saal ki umer mein kasrat o tawatur sey jalaq lagaee jaey to a'aza e tanasul ss ka nizam bhi ma'uf ho jata hai. Aankhein ander ko dhans jati hain. Inn kay gird kaley halqey namudaar ho jatey hain. Aankhon ki putliyan bey ronaq aur bey noor ho jati hain , chehrey ka rung matyaala ho jata hai. Chehrey per phunsiyan nikal aati hain. Hath bheegey bheegey aur sard rehtey hain, hafiza kamzor ho jata hai. Baat kartey waqt mukhatib sey aankh nahin mila sakta, na kisi masley per ghor o fikr kar sakta hai iss ka aetmaad e nafs majrooh ho jata hai, mizaj hamwaar nahin rehta. Azm o hosley sey aari ho jata hai. Matloon mizaj aur chirchira pan ho jata hai aur tootey huey jumlon mein baat karta hai. Doosrey hamjinso'n ki sohbat sey guraez karta hai aur khelon mein hissa nahin leta. Tanha idhar udher ghoomta phirta rehta hai. Libas kay maamley mein bey parwaah hota ha

No comments:

Post a Comment