Pages

Friday 5 August 2011

Nikah Is The Best Solution Of Zina

Kuch log jaanwaron kay sath jinsi fael kartey hain. Yeh na sirf ek bohut bara gunah hai bul kay iss sey fard ko bohut si jinsi beemariyan lag jati hain. Iss tarah ki harkat shehron mein kam aur dehaton mein zyada hoti hai. Jaanwaron ko churaney waley naujawan amooman iss mein mulawwis ho jatey hain. Islam mein aisey fard kay liye sakht saza hai.

Zina Ka Hal - Solution Of Zina

Hazrat Abdullah bin Mas'ood sey marvi hai kay Rasool Allah ney farmaya "Aey naujawanon tum mein jo koi nikah ki isteta'at rakhta hai woh nikah karey kay yeh ajnabi aurat ki taraf nazar karney sey rokney wala hai aur sharam gaah ki hifazat karney wala hai aur jis mein nikah ki isteta'at nahi woh rozey rakhey kay roza qatae shahoot hai" (Bukhari, Muslim)

Zina ki jin wajoohaat ka guzishta auraaq mein zikr hua hai unka tadaruk kya jaey. Bey hayaee, uryaani, bey pardagi, fahaashi aur makhloot majalis waghaera ka khatima kya jaey. Sports aur doosri masbat sargarmiyon ko farogh diya jaey.

No comments:

Post a Comment