Pages

Sunday 21 August 2011

Phosphate In Urine - Albumin In Urine

Peeshab ka yeh doodhiya pan peeshab (urine) mein phosphate ki ziyadti ki wajah sey hota hai. Jo usually zyada sabzi khaney waley logon mein paya jata hai. Laikin har sabzi khaney waley kay urine mein phosphate ki ziyaditi nahi hoti. Magar yeh ziyati koi beemari nahi aur na hi iss ka jinsi kamzori ka sath koi ta'alluq hai lihaza iss ka elaj ki koi zarorat nahi. Essi tarhan baz dafa dawa khana sey bhi peeshab ka colour change hojata hai.

Doodhiya pan ki dusri wajha peeshab mein aik material albumin ka shamil hona hai. Iss ka bhi jinsi kamzori ka sath koi ta'alluq nahi yeh kidneys ki kharabi ko zahir karta hai magar aisa bohut hi kam hota hai. Iss ka elaj karaya jai. Ap apna tor per bhi peeshab ko check kar saktain hain ka yeh albumin hai yeh phosphate. Iss ka liye glass mein thora sa peeshab lain. Iss mein nomak ka acid ka 2 to 3 qatrey (drops) dalain. Agar peeshab white hojai to phosphate ki ziyati hogi aur agar white na ho to albumin ki alamat hogi. Es sorat mein kisi achai urologist sey rabta karain. (Dastoor)

Baaz mardon ki mani (semen) mubashrat (Intercourse) ka doran bladder mein chali jati hai jis sey urine doodhiya hojata hai. Eski wajha usually peeshab ki nali ka operation hota hai. Yeh nuqsan deh nahi. Mani (semen) khud ba khud baad mein peeshab (urine) ka sath kharij hojati hai laikin behter hai ka kisi doctor ko check karaya jai. (Zakir)

No comments:

Post a Comment