Pages

Friday 26 August 2011

Pregnancy In Urdu - Hamal

Takmeel e Khandan

  • Hamal (Pregnancy)
  • Aulad e Nareena Ka Husool (Having A Son)
  • Hamal Aur Mubashrat (Pregnancy And Intercourse)
  • Baanjh Pan (Infertility)
  • Zabt e Wiladat (Birth Control)

Hamal (Pregnancy)

Aulad ka husool har insan ki buniyadi khwahish hai magar hamari tajweez hai kay pehley 1 or 2 year bacha paeda nahi hona chahiyie ta kay mian and biwi zindagi ki zyada zimme daariyon kay baghaer azdawaji zindagi kay sukoon aur lazzat sey khoob lutfandoz ho sakein. Bachey hasil karney kay liye sari umar pari hai. Iss kay elawa iss doran mein agar mian biwi mein naa chaqi hojaey to divorce mein aasani hojati hai na kay sari umar bachon ki wajah sey azaab mein guzari jaey. Mahireen ki raey hai ka na khushgawar shaadi sey khushgawar shaadi aur pur sukoon alaehdgi behter hai.

Husool e aulad kay liye mian biwi ka normal hona zaroori hai kisi ek mein kharabi hogi to aulad naa hogi. Biwi kay pregnant honay kay liye zaroori hai kay mani (semen) iss ki faraj mein dakhil ho aur mani (semen) mein kam az kam 2 crore sehat mand nutfey (sperms) mojood hun. Faraj ka mahol aisa ho ka sperm wahan zinda reh sakein. Agar aurat ki faraj mein tezabiyat zyada hogi to sperm mar jaeyn gey aur bacha paeda naa hoga. Sperm muta'allaqa qazif naali mein pohonch jaein aur wahan baeza ko paalein aur baar aawri kay baad baeza bacha dani mein aa jaey.

No comments:

Post a Comment