Pages

Sunday 21 August 2011

Premenstrual Syndrome

Mahwaari Mein Mood Ki Tabdeeliyan

Headache kay elawa inki self esteem aur self confidence bohut hi low ho jati hai. Yeh symptoms PMS yani premenstrual syndrome kehlata hai. Inn dino aurton mein crimes ka rate zyada ho jata hai. France mein inn dinon mein honay waley crimes per PMS ki wajah sey saza mein narmi ki jati hai. Chunancha famous American Dr. Edgar Berman ney kaha tha kay koi aurat mood kay iss change ki wajah sey kisi ahem position kay liye unfit hai. (Hyde) Isi liye Islam mein mard ko family ka sarbarah banaya hai aur zindagi ki zyada tar aur zyada ahem responsibilities aurat kay bajaey mardon kay shoulders per dali gaee hain. Isi liye Islam mein kisi country mein aurat ki surbarahi ki gunjaesh nahi. Mahwaari (menses) sey pehley inn symptoms kay elaj kay liye progesterone therapy ki sifarish ki jati hai.

Mahwaari (menses) ek napak cheez hai jis cloth per yeh khoon lag jaey iss ko wash kar kay pak kara jaey. Hazrat Asma bint e Abu Bakar riwayat karti hain kay ek aurat ney Hazrat Muhammad (P.B.U.H) sey poocha kay jis kaprey ko haez lag jaey to kya karein. Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya kay isko chutkiyon sey mal kar pani sey dho dalna chahiyie aur phir iss mein namaz ada kari jaey. (Bukhari, Muslim)

Ek muslim khatoon jitney din mahwaari (menses) ki halat mein rahey itney din namaz na parhey, ramazan hun to rozey na rakhey lekin rozey baad mein qaza rakhna farz hain. Albatta itney dino ki namazein maaf hain. Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ka irshad hai. Farmaya kay jin dinon mein haez aaey inn mein namaz chordey, phir nahaey aur har namaz kay waqt wuzu karey aur namaz parhey aur rozey rakhey. (Abu Dawood)

No comments:

Post a Comment