Pages

Friday 5 August 2011

Seminal Fluid Quality - Mani Ki Quality Mein Farq

Infiraadi ikhtilafaat ki wajha sey mani (seminal fluid) ki quality mein farq hota hai. Jiska(potency) kay sath koi ta'alluq nahi. Mani (seminal fluid) ka siwaey bachey paeda karney kay aur koi function nahi isliye iski quality ki bhi koi ahmiyat nahi. Mani (seminal fluid) kay ikhraj kay liye ek carrier hai yani iss ka zariyey sperms bahir aatey hain. Iss kay elawa mani (seminal fluid) mein protien aur sugar waghaira ki sorat mein sperms kay liye khoorak hoti hai. Lehaza mani (seminal fluid) ki quality ka hawaley sey hargiz pareshan honay ki zarorat nahi hai. Mani (seminal fluid) urine aur stool ki tarhan napak nahi. Kuch ulma esko bilkul napak samajhtey hain aur baaz issey khafeef napak samajhtey hain. Lehaza dry mani (seminal fluid) ko ragarna hi kafi hai. Hazrat Ayesha Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ki dry mani (seminal fluid) ko ragar kar saf kardiya karti theen aur wash nahi karti thee albatta geeli mani (seminal fluid) ko dhoya karti thee aur Hazrat Muhammad (P.B.U.H) unhi geeley kapron mein namaz kay liye masjid jaya kartey thai. Hazrat Ayesha farmati hain ka "Mein Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ka kapray sey mani (seminal fluid) ko mul deti phir Hazrat Muhammad(P.B.U.H) iss mein namaz parhtey". (Muslim)

Aik dusri hadees mein ap farmati hain ka "Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ka kapra sey mani ko mein dhoti phir Hazrat Muhammad(P.B.U.H) namaz ka liye tashreef laijatai aur dhona ka neshan usmai hota". (Bukhari,Muslim)

Es silsila mein aik ahem masla yeh hai ka agar mani (seminal fluid) lutf ka sath yeh phir puri tarhan baghair lutf sey nikal jai to insan per ghussal farz hojata hai.

No comments:

Post a Comment