Pages

Friday 5 August 2011

Women Conception About Men Penis

Iss ghalat fehmi ko iss tarah duur kya jasakta hai.

  1. Tanau (erection) honay per fard aaeyney kay samney khara ho kar side sey apney zakar ko dekhey to uss ki ghalat fehmi duur ho jaey gi.
  2. Akrey huey zakar ki paemana sey aazma'esh kar li jaey to bhi ghalat fehmi duur ho jaey gi. Khushkhabri yeh hai kay aksar afraad ka zakar unn kay apney khayal sey bara hota hai.

Agarcha zakar ki lambaee ka koi meyar nahin ta'hum ek survey kay mutabiq America mein 50% logon ka zakar 5 inch sey kam hota hai aur lambey sey lamb 13 inch ka. Magar wahan 4 inch ka akrra hua zakar normal mil jata hai. Pakistan mein 3 inch ka akrra (erected) hua zakar normal samjha jata hai. Qadd kaath ka zakar ki lambaee kay sath koi ta'alluq nahin. Albatta hathon kay size ka zakar kay size kay sath kuch ta'alluq hai. Amooman barey hathon waley afraad kay zakar lambey hotey hain. Mahireen ka khayal hai kay woh zakar jo faraj (vagina) mein dakhil ho jaey normal hai. (Hyde)

Kya Aurtein Lamba Zakar Pasand Karti Hain?

Aam mardon ka khayal hai kay bara zakar behter hai kyun kay aurtein lamba zakar pasand karti hain, jab kay aurtein zakar kay size kay hawaley sey kam hi sochti hain. Bohut kam aurtein lambey zakar ko pasand karti hain. Hite ki research kay mutabiq aksar aurtein chotey zakar ko pasand karti hain. Ek aur research sey ma'aloom hua kay aurton ko ausat (average) size ka zakar pasand tha.

No comments:

Post a Comment