Pages

Friday 5 August 2011

Zina Ki Wajoohaat

America mein amooman talaq ki sharah 50% sey zyada hai jab kay California mein 4 shadiyon mein sey 3 talaq per khatam hoti hain yani wahan talaq ki sharah 75% hai. Merey paas taqreeban har maah ek do case aisey zaroor aatey hain jahan makhloot majalis ki wajah sey doosri aurat ya mard mein involve ho jatey hain aur ghar bachaney kay liye humari madad talb kartey hain na janey woh shadi shuda log kitney hain jo humarey paas nahin aatey aur jinsi beyrahrawi ) mein mubtala rehtey hain . Iss tarah na janey kitney ghar khamoshi sey ujarr jatey hain.

  1. Cousin culture: humarey haan amooman bachiyan apney cousin larkon kay sath mael jol mein kuch zyada hi frank ho jati hain aur ghanto'n alaehdgi mein gupshup karti hain jis ki wajah sey larkon ko unhein flirt karney kay mawaqae mil jatey hain, iss tarah bohut si bachiyan inn cousins kay hathon lutt jati hain. Hala'n kay Allah kay Nabi ney sagey jawan behen bhaee ko bhi tanhayee mein bethney sey mana farmaya hai. Isi tarah bohut sey behnoee apni saaliyon sey flirt karney ki koshish kartey hain aur iss gunah kay murtakib hotey hain.
  2. Jinsi beyrahrawi ka ek aur bara sabab khawateen ka mardon kay sath kaam karna hai. Secretary level ki ek khatoon CSP officer ney mujhey bataya kay mardon kay sath kam karney wali kam az kam 50% aurtein apni izzat bachaney mein nakaam rehti hain, isliye nurses aur istaqbalia (reception) per kaam karney wali khawateen kay liye apni asmat bachana naa mumkin nahin to bohut mushkil zaroor hai. Taqreeban 100% mulazimat paesha khawateen mardon ki jinsi harassment ka shikar hoti hain.

No comments:

Post a Comment