Pages

Friday 5 August 2011

Post Micturation Dribble - Drops After Urine Qatrey (Post Micturation Dribble - Drops After Urine):

Aksar naujawan qatron ki shikayat kartey hain. Aisey naujawan na sirf kamzori mehsoos kartey hain bul kay kapron ko napak samajh kar namaz nahi parhtey hain. Yeh qatrey (drops) kiya hain? Jab bhi koi shaks specially unmarried naujawan sex kay hawaley sey sochta hai, tasawwur karta hai ya jinsi baat sunta hai ya koi jinsi book parhta hai. Nude picture dekhta hai ya jins e mukhalif ko dekhta ya uss sey baat karta hai to jinsi haejan ki wajha sey iss kay penis sey white laisdar liquid kharij hota hai. Yeh liquid kabhi(erection) kay sath kharij hota hai jab kay aksar shahooat aur tanau kay baghair hi kharij hota hai. Yeh essi tarhan hai jis tarhan mithai ko dekh kar insan kay mu'nh mein pani bhar ata hai. Mani (semen) ki thaeliyan usually 3.5 days kay baad bhar jati hain aur agar kaee din mani (seminal fluid) ka ikhraj na ho to mamooli jinsi haejan ki wajah sey yeh thailiyan sukarr kar mani (semen) kay 1 ya 2 qatrey (drops) baghair lutf kay kharij kar daiti hain. Yeh koi beemari ya khatarnak cheez nahi aur na hi iss ka kisi bhi tarhan kay koi nuqsanat hain. Kyun kay(seminal fluid) koi qeemti cheez nahi. Thook jitni qeemti hai.

Aksar yeh qatrey (drops) mani (seminal fluid) ka bajai sey nikalney wala liquid hota hai. Yeh liquid kisi ka zyada aur kisi ka kam nikalta hai. Issi tarhan yeh liquid kisi shakhs ka garha aur kisi ka patla hota hai. Kuch neem hakeem iss ko bhi jiryan kahtey hain aur naujawanon ko bey hud khaufzada kartey hain kay iss sey naujawan jinsi tor per kamzor hojata hai aur shadi ka qabil nahi rehta. Research sey maloom hua hai kay yeh liquid aik khaas hikmat kay tehet kharij hota hai.

Misconceptions About Seminal Fluid

  1. Ahsas e kamtari tari hojati hai aur kisi sey ankh mila ka bat karna ka hosla nahi rehta.
  2. Gatherings mein janey sey khouf sa mehsoos hota hai.

Mani (seminal fluid) johar e hayat hai iss kay zaya honay sey zindagi ka chiragh timtimaney lagta hai aur isski roshni kam honay lagti hai.

Yeh Sab Ghalat Hai:

Agar aap kabhi Sunday kay newspapers kay ads aur dewari ads ka jaeza lein to mehsoos hoga kay sari nation jinsi mareez hai aur iss nation ka sab sey bara problem jiryan hai. Naujawan iss kay elaj per hazaron rupee kharch kar detey hain magar kuch farq nahi parta. Haqeeqat yeh hai kay yeh koi beemari nahi yeh urethral gland sey nikalney wala material hota hai jo usually uss waqt nikalta hai jab insan peeshab ya stool kay liye zor lagata hai. Baz auqat sexual stimulation ya ehtilam waghaera ki wajah sey kuch mani (seminal fluid) kharij ho jati hai chun key peehsab ki naali seedhi nahi bul kay English kay letter S ki shakal ki hai jiski wajah sey sari mani (seminal fluid) kharij nahi hoti bul kay mani (seminal fluid) kay 1 ya 2 qatrey (drops) peeshab ki naali kay neechey waley curve hissey mein reh jati hain. Chunkay urine aur mani (seminal fluid) kay ikhraj ka ek hi rasta hai chunacha baad mein jab insan urine pas karta hai to yeh bachi hui mani (seminal fluid) urine ka pehla drop kay sath bahir aa jata hai.

Medical science ki nazar mein jiryan ki koi ahmiyat nahi aur na hi yeh kisi beemari ya kamzori ki alamat hai iss kay elaj ki koi zarorat nahi kyun kay yeh ek natural process hai.

Misconceptions About Seminal Fluid Jiryan Ki Mafrooza Tabaahkariyan:

Jiryan kay hawaley sey mukhtalif logon ney ghalat fehmiyan phaelaee hui hain jin ka haqeeqat kay sath koi ta'alluq nahi.

Homeo doctor Ali Asghar Choudri apni book mein farmatey hain kay jiryan sey:

  1. Dimagh kamzor ho jata hai. Parhney ko dil nahi chahta aur parhney kay bawajood kuch yad nahi hota.
  2. Eye sight kamzor honay lagti hai.
  3. Nerves kamzor hojati hain. Tarhan tarhan kay khouf tari ho jatey hain. Zara zara si baat per ghabrahat hoti hai. Dil dharakta hai aur eyes kay aagey andhera aajata hai.
  4. Chusti chalaki khatam hojati hai. Chehra bey ronaq ho jata hai. Badan sust aur kamzor honay lagta hai. Zara si mehnat mushaqqat per badan thak kay choor ho jata hai.
  5. Kisi kam ko dil nahi chahta.
  6. Legs aur kamar mein dard honay lagta hai.
  7. Susti aur udasi cha jati hai.
  8. Mezaj mein chirchira pan paeda honay lagta hai.

Misconceptions About Seminal Fluid Mani (seminal fluid) Kay Rung Mein Tabdeeli Mardana Kamzori Ki Alamat Hai?

Jawani mein kharij honay wali mani (seminal fluid) ka colour bilkul white hota hai magar age kay sath sath mani (semen) ka colour change ho jata hai aur iss ka colour white sey halka peela ho jata hai. Research sey sabit hua hai kay mani (semen) kay colour ka kay sath hargiz koi ta'alluq nahi aur na hi yeh koi beemari hai. Lehaza mani (semen) kay colour mein tabdeeli mardana kamzori ki alamat nahi. (Koth Ram)

Mani (semen) Mein Khoon Ya Pus Ana:

Baaz auqat insan ki mani (seminal fluid) mein khoon ya pus shamil hoti hai. Iss ki bari wajah prostate gland aur seminal vesicles ka infection, inflammation aur congestion hoti hai. Iss kay elawa trauma aur urethritis ki wajah sey bhi mani (seminal fluid) mein khoon aur pus aa jata hai. Iss surat mein kisi achey urologist sey elaj karwaein. (Kothari)

Jiryan / Dhat Syndrome:

Jiryan sey murad amooman woh white material liye jata hai jo peeshab ya rafa e hajat kay baad ya pehley mard kay penis sey kharij hota hai. Neem Hakeem isey ek bohut hi khatarnak jinsi beemari qarar detey hain jis kay bohut sey nuqsanat hain.

Seminal Fluid Discharge And Health

Mani (semen) Ka Ikhraj Sehat Kay Liye Nuqsandeh Hai?

Yeh baat 100% ghalat hai ka mani (semen) ka ikhraj sey sehat per burey asraat partey hain bul kay haqeeqat yeh hai kay mani ka ikhraj sehat kay liye bohut mufeed hai. Kyun kay iss kay ikhraj sey insan ko hamesha zehni aur jismani sukoon milta hai jis sey sehat achi hoti hai na kay kharab. Iss liye naee shaadi ki sorat jab naujawan zyada mubashrat (Intercourse) kar kay zyada mani (semen) kharij kartey hain to inki sehat kharab honay ka bajaey behter hoti hai aur aksar naujawan shadi kay baad motey ho jatey hain. (Time:Zakir:Mobeen)

Mani (semen) Ki Miqdaar Mein Kami Mardana Kamzori Ki Alamat Hai?

Mani (seminal fluid) kay hawaley sey ek aam khayal yeh bhi hai kay agar inzal (ejaculation) ka waqt kam miqdar mein mani (semen) kharij ho to yeh (erectile dysfunction) ki alamat hai. Iss ka haqeeqat sey door ka bhi koi ta'alluq nahi. Mani (semen) ki amount ka inhisar kay baton per hai. Naujawano mein mani (seminal fluid) ki miqdar zyada hoti hai. Magar 50 years kay baad iss ka amount kam ho jata hai. Issi tarhan agar jaldi jaldi mani (semen) kharij kari jai yani rozana (Intercourse) kari jaey to bhi mani (semen) ka amount kam hoga aur agar week mein ek bar mubashrat (Intercourse) ki jaey to mani (seminal fluid) ka amount zyada hoga. Issi tarhan agar insan sexually zyada stimulate ho yani lamba ho to bhi zyada miqdar mein mani (semen) kharij hogi. Waisey ki research kay mutabiq average 1 inzal (ejaculation) mein 3.5 ml mani (semen) kharij hoti hai. (Mobeen:Koth Ram)

Post Micturation Dribble - Drops After Urine Qatrey (Post Micturation Dribble - Drops After Urine):

Aksar naujawan qatron ki shikayat kartey hain. Aisey naujawan na sirf kamzori mehsoos kartey hain bul kay kapron ko napak samajh kar namaz nahi parhtey hain. Yeh qatrey (drops) kiya hain? Jab bhi koi shaks specially unmarried naujawan sex kay hawaley sey sochta hai, tasawwur karta hai ya jinsi baat sunta hai ya koi jinsi book parhta hai. Nude picture dekhta hai ya jins e mukhalif ko dekhta ya uss sey baat karta hai to jinsi haejan ki wajha sey iss kay penis sey white laisdar liquid kharij hota hai. Yeh liquid kabhi (erection) kay sath kharij hota hai jab kay aksar shahooat aur tanau kay baghair hi kharij hota hai. Yeh essi tarhan hai jis tarhan mithai ko dekh kar insan kay mu'nh mein pani bhar ata hai. Mani (semen) ki thaeliyan usually 3.5 days kay baad bhar jati hain aur agar kaee din mani (seminal fluid) ka ikhraj na ho to mamooli jinsi haejan ki wajah sey yeh thailiyan sukarr kar mani (semen) kay 1 ya 2 qatrey (drops) baghair lutf kay kharij kar daiti hain. Yeh koi beemari ya khatarnak cheez nahi aur na hi iss ka kisi bhi tarhan kay koi nuqsanat hain. Kyun kay (seminal fluid) koi qeemti cheez nahi. Thook jitni qeemti hai.

Aksar yeh qatrey (drops) mani (seminal fluid) ka bajai sey nikalney wala liquid hota hai. Yeh liquid kisi ka zyada aur kisi ka kam nikalta hai. Issi tarhan yeh liquid kisi shakhs ka garha aur kisi ka patla hota hai. Kuch neem hakeem iss ko bhi jiryan kahtey hain aur naujawanon ko bey hud khaufzada kartey hain kay iss sey naujawan jinsi tor per kamzor hojata hai aur shadi ka qabil nahi rehta. Research sey maloom hua hai kay yeh liquid aik khaas hikmat kay tehet kharij hota hai.

Misconceptions About Seminal Fluid

  1. Ahsas e kamtari tari hojati hai aur kisi sey ankh mila ka bat karna ka hosla nahi rehta.
  2. Gatherings mein janey sey khouf sa mehsoos hota hai.

Mani (seminal fluid) johar e hayat hai iss kay zaya honay sey zindagi ka chiragh timtimaney lagta hai aur isski roshni kam honay lagti hai.

Yeh Sab Ghalat Hai:

Agar aap kabhi Sunday kay newspapers kay ads aur dewari ads ka jaeza lein to mehsoos hoga kay sari nation jinsi mareez hai aur iss nation ka sab sey bara problem jiryan hai. Naujawan iss kay elaj per hazaron rupee kharch kar detey hain magar kuch farq nahi parta. Haqeeqat yeh hai kay yeh koi beemari nahi yeh urethral gland sey nikalney wala material hota hai jo usually uss waqt nikalta hai jab insan peeshab ya stool kay liye zor lagata hai. Baz auqat sexual stimulation ya ehtilam waghaera ki wajah sey kuch mani (seminal fluid) kharij ho jati hai chun key peehsab ki naali seedhi nahi bul kay English kay letter S ki shakal ki hai jiski wajah sey sari mani (seminal fluid) kharij nahi hoti bul kay mani (seminal fluid) kay 1 ya 2 qatrey (drops) peeshab ki naali kay neechey waley curve hissey mein reh jati hain. Chunkay urine aur mani (seminal fluid) kay ikhraj ka ek hi rasta hai chunacha baad mein jab insan urine pas karta hai to yeh bachi hui mani (seminal fluid) urine ka pehla drop kay sath bahir aa jata hai.

Medical science ki nazar mein jiryan ki koi ahmiyat nahi aur na hi yeh kisi beemari ya kamzori ki alamat hai iss kay elaj ki koi zarorat nahi kyun kay yeh ek natural process hai.

Misconceptions About Seminal Fluid Jiryan Ki Mafrooza Tabaahkariyan:

Jiryan kay hawaley sey mukhtalif logon ney ghalat fehmiyan phaelaee hui hain jin ka haqeeqat kay sath koi ta'alluq nahi.

Homeo doctor Ali Asghar Choudri apni book mein farmatey hain kay jiryan sey:

  1. Dimagh kamzor ho jata hai. Parhney ko dil nahi chahta aur parhney kay bawajood kuch yad nahi hota.
  2. Eye sight kamzor honay lagti hai.
  3. Nerves kamzor hojati hain. Tarhan tarhan kay khouf tari ho jatey hain. Zara zara si baat per ghabrahat hoti hai. Dil dharakta hai aur eyes kay aagey andhera aajata hai.
  4. Chusti chalaki khatam hojati hai. Chehra bey ronaq ho jata hai. Badan sust aur kamzor honay lagta hai. Zara si mehnat mushaqqat per badan thak kay choor ho jata hai.
  5. Kisi kam ko dil nahi chahta.
  6. Legs aur kamar mein dard honay lagta hai.
  7. Susti aur udasi cha jati hai.
  8. Mezaj mein chirchira pan paeda honay lagta hai.

Misconceptions About Seminal Fluid Mani (seminal fluid) Kay Rung Mein Tabdeeli Mardana Kamzori Ki Alamat Hai?

Jawani mein kharij honay wali mani (seminal fluid) ka colour bilkul white hota hai magar age kay sath sath mani (semen) ka colour change ho jata hai aur iss ka colour white sey halka peela ho jata hai. Research sey sabit hua hai kay mani (semen) kay colour ka kay sath hargiz koi ta'alluq nahi aur na hi yeh koi beemari hai. Lehaza mani (semen) kay colour mein tabdeeli mardana kamzori ki alamat nahi. (Koth Ram)

Mani (semen) Mein Khoon Ya Pus Ana:

Baaz auqat insan ki mani (seminal fluid) mein khoon ya pus shamil hoti hai. Iss ki bari wajah prostate gland aur seminal vesicles ka infection, inflammation aur congestion hoti hai. Iss kay elawa trauma aur urethritis ki wajah sey bhi mani (seminal fluid) mein khoon aur pus aa jata hai. Iss surat mein kisi achey urologist sey elaj karwaein. (Kothari)

Jiryan / Dhat Syndrome:

Jiryan sey murad amooman woh white material liye jata hai jo peeshab ya rafa e hajat kay baad ya pehley mard kay penis sey kharij hota hai. Neem Hakeem isey ek bohut hi khatarnak jinsi beemari qarar detey hain jis kay bohut sey nuqsanat hain.

Seminal Fluid Discharge And Health Mani (semen) Ka Ikhraj Sehat Kay Liye Nuqsandeh Hai

Yeh baat 100% ghalat hai ka mani (semen) ka ikhraj sey sehat per burey asraat partey hain bul kay haqeeqat yeh hai kay mani ka ikhraj sehat kay liye bohut mufeed hai. Kyun kay iss kay ikhraj sey insan ko hamesha zehni aur jismani sukoon milta hai jis sey sehat achi hoti hai na kay kharab. Iss liye naee shaadi ki sorat jab naujawan zyada mubashrat (Intercourse) kar kay zyada mani (semen) kharij kartey hain to inki sehat kharab honay ka bajaey behter hoti hai aur aksar naujawan shadi kay baad motey ho jatey hain. (Time:Zakir:Mobeen)

Mani (semen) Ki Miqdaar Mein Kami Mardana Kamzori Ki Alamat Hai?

Mani (seminal fluid) kay hawaley sey ek aam khayal yeh bhi hai kay agar inzal (ejaculation) ka waqt kam miqdar mein mani (semen) kharij ho to yeh (erectile dysfunction) ki alamat hai. Iss ka haqeeqat sey door ka bhi koi ta'alluq nahi. Mani (semen) ki amount ka inhisar kay baton per hai. Naujawano mein mani (seminal fluid) ki miqdar zyada hoti hai. Magar 50 years kay baad iss ka amount kam ho jata hai. Issi tarhan agar jaldi jaldi mani (semen) kharij kari jai yani rozana (Intercourse) kari jaey to bhi mani (semen) ka amount kam hoga aur agar week mein ek bar mubashrat (Intercourse) ki jaey to mani (seminal fluid) ka amount zyada hoga. Issi tarhan agar insan sexually zyada stimulate ho yani lamba ho to bhi zyada miqdar mein mani (semen) kharij hogi. Waisey ki research kay mutabiq average 1 inzal (ejaculation) mein 3.5 ml mani (semen) kharij hoti hai

Seminal Fluid Storage

Married mard hazrat taqat aur mani (semen) ko store karney kay chakkar mein (Intercourse) sey perhaiz kartey hain. Halan kay mubashrat (Intercourse) sey perhaiz ki sorat mein insan ki mardana quwwat mein kami aa jati hai. Doosri taraf jinsi khwaish) ko musalsal dabaney sey insan kaee tarhan kay nafsiyati masail maslan lack of concentration, sleep disorder, tension, frustration aur nervousness ka shikar ho jata hai.

Jo log mulk sey bahir kam kartey hain aur saal ya 2 saal kay baad watan wapis aatey hain lamba arsa mubashrat (Intercourse) sey mehroom honay ki wajah sey inn afraad ki jinsi khwahish aur yani tanau (erection) mein kami ho jatey hain. Iss kay elawa yeh log ka bhi shikar ho jatey hain. Iss surat mein elaj karaney ki zarorat nahi bul kay sexual activity mein hissa leney ki wajah sey yeh problems khud ba khud solve ho jati hain. Europe aur America mein aisi daleel kay ba'is jail kay qaidion ko apni biwion sey milney ki ijazat di jati hai.

Kya Mani (semen) Ko Mehfooz Karney Sey Sehat Behtar Hoti Hai?

Na sirf aam logon bul kay hakeemon ka bhi khayal hai ka agar mani (semen) ko kharij na honay diya jaey aur iss ko safe karliya jaey to insan ki sehat achi hogi, jism mazboot hoga, age lambi hogi aur iss ki athletics ki abilities mein izafa hoga. Yani agar koi insan mani (semen) ko kharij na karey to woh super athlete ban jaey ga. Iss falsafey kay tehet hamarey yahan pehelwanon ki jald shadi nahi kari jati. Research sey iss tarhan ki koi baat sabit nahi ho saki. Lehaza yeh tasawwur bilkul ghalat hai kay mani (semen) ko safe karney sey insan rustam e zama ban jaiga. (Dastoor:Zakir:Kaiwa

Seminal Fluid And Male Potency Mani (seminal fluid) Ek Taqat Hai?

Pichley dino ek khubsurat 6 feet ka healthy naujawan merey paas elaj ka liye aya. Iss ney mujhey bataya kay uss ki mother uski shadi karna chahti hai, magar woh inkari hai. Ussey yaqeen tha kay woh shadi kay qabil nahi kyun kay uss ney (masturbation) kay zariyay apni t zaya kardi. Woh pichley 14 years sey musht zani (masturbation) kar raha hai aur koshish kay bawajood esko rok nahi saka. Research sey yeh bat sabit ho chuki hai ka mani (seminal fluid) koi energy nahi aur na hi iss ka mardana quwwat (male potency) kay sath koi ta'alluq hai. Ju'nhi iss naujawan ko iss haqeeqat ka ilm howa to uss ki khushi aur itmenan dekha na jata tha. Uss ney hansi khushi shadi kay liye haan kardi. (Dastoor:Zakir:Mobeen:Kaiwal Dheer)

Thick Mani Sey Zyada Jinsi Surur Aata hai?

Aksar logon ka khayal hai kay kay liye mani (seminal fluid) ka shehed (honey) ki tarhan thick hona zarori hai. Iss ki bhi koi haqeeqat nahi orgasm ka liye mani (seminal fluid) ka sirf kharij hona zarori hai. Baaz auqat insan inzal (ejaculation) kay baghair bhi orgasm hasil kar leta hai aur kabhi aisa bhi hota hai kay insan thick mani (seminal fluid) kharij karta hai magar orgasm sey mehroom rehta hai. Yeh sab kuch normal hai. (Dastoor:Zakir:Mobeen)

Mani Ahista Nikley To Bacha Paeda Na Hoga?

Aam khayal hai kay inzal (ejaculation) kay waqt mani (seminal fluid) ko force kay sath nikalna chahiye warna bacha paeda na hoga. Yeh khayal bhi 100% ghalat hai.

Misconceptions About Seminal Fluid

Mani Ek Qeemti Cheez Hai – Khoon Sey Bhi Qeemti?

Neem Hakeemon ka khayal kay mutabiq mani (seminal fluid) johar-e-hayat aur ek bohut qeemti cheez hai. Famous formula hai kay 100 qatrey (drops) desi ghee ka to ek drop khoon ka aur 100 qatrey (drops) khoon kay to ek drop mani (seminal fluid) ka. Yani mani (seminal fluid) ka behna khoon kay behney sey bhi zyada qeemti hai. Mera ek naujawan client es khayal ki wajha sey pagal hogaya kyun ka iss ka khayal tha ka yeh ek bohut qeemti cheez hai. Ek bar yeh naujawan musht zani (masturbation) kar raha tha. Inzaal (ejaculation) ka kareeb esko khayal aya ka to ek bohut qeemti cheez hai to esna mani (seminal fluid) ko collect kara aur drink kargaya.

Latest research sey sabit howa hai ka mani (seminal fluid) quwwat-e-hayat nahi aur na hi yeh khoon sey qeemti hai aur na hi iss ka khoorak kay sath direct koi ta'alluq hai. Agar hota to ghareebon kay bachey paeda hi nahi hotey. Mardana kamzori ki wajha sey enki biwiyan bhag jatin. Ek Indian doctor Kaiwal Dheer nai hisab kitab kar kay andaza lagaya hai ka agar mani (seminal fluid) waqai khoon sey qeemti hai to ek bar inzal (ejaculation) sey khoon ki ek bottle (500ml) nikal jati hai. Bohut sey logon nai kabhi na kabhi din mein 2 bar musht zani (masturbation) zaror kari hogi. Iss surat mein 2 bottles khoon ki nikalnay kay baad woh zinda kaisay rahey. Mera woh client jo din mein 15 bar tak kar leta tha isey to kisi bhi surat zinda nahi hona chahiya jab kay woh na sirf zinda hai bul kay healthy hai aur bachey paeda kar raha hai. Darasal mani (seminal fluid) thook sey ziyda qeemti nahi aur iss ka banney mein jism ki etni hi taqat sarf hoti hai jitni thook bananey mein.

Seminal Fluid Quality - Mani Ki Quality Mein Farq

Infiraadi ikhtilafaat ki wajha sey mani (seminal fluid) ki quality mein farq hota hai. Jiska(potency) kay sath koi ta'alluq nahi. Mani (seminal fluid) ka siwaey bachey paeda karney kay aur koi function nahi isliye iski quality ki bhi koi ahmiyat nahi. Mani (seminal fluid) kay ikhraj kay liye ek carrier hai yani iss ka zariyey sperms bahir aatey hain. Iss kay elawa mani (seminal fluid) mein protien aur sugar waghaira ki sorat mein sperms kay liye khoorak hoti hai. Lehaza mani (seminal fluid) ki quality ka hawaley sey hargiz pareshan honay ki zarorat nahi hai. Mani (seminal fluid) urine aur stool ki tarhan napak nahi. Kuch ulma esko bilkul napak samajhtey hain aur baaz issey khafeef napak samajhtey hain. Lehaza dry mani (seminal fluid) ko ragarna hi kafi hai. Hazrat Ayesha Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ki dry mani (seminal fluid) ko ragar kar saf kardiya karti theen aur wash nahi karti thee albatta geeli mani (seminal fluid) ko dhoya karti thee aur Hazrat Muhammad (P.B.U.H) unhi geeley kapron mein namaz kay liye masjid jaya kartey thai. Hazrat Ayesha farmati hain ka "Mein Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ka kapray sey mani (seminal fluid) ko mul deti phir Hazrat Muhammad(P.B.U.H) iss mein namaz parhtey". (Muslim)

Aik dusri hadees mein ap farmati hain ka "Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ka kapra sey mani ko mein dhoti phir Hazrat Muhammad(P.B.U.H) namaz ka liye tashreef laijatai aur dhona ka neshan usmai hota". (Bukhari,Muslim)

Es silsila mein aik ahem masla yeh hai ka agar mani (seminal fluid) lutf ka sath yeh phir puri tarhan baghair lutf sey nikal jai to insan per ghussal farz hojata hai.

Function Of Seminal Fluid - Mani Ka Function

Mani (seminal fluid) 3 jagha banta hai:

  1. Testis
  2. Prostate Glands
  3. Seminal Vesicles

Inn teeno jagha sey nikal kar peeshab ki nali mein jama hojata hai. Testis mein 2 types ka cells hotain hain. Aik kisim jinsi hormones testosterone paeda kartey hain jinka ta'alluq sexual drives aur mardana potency yani tanau (erection) ka sath hai. Yani es hormone ki wajha sey shawat aur penis mein tanau (erection) paeda hoti hai. Doosrey cell sperms paeda kartey hain jo bachai paeda karna ka sabab bantai hain. Insan jab aik bar ejaculate kar daita hai to kharij hona wali mani (seminal fluid) ki ta'adad 3.5ml hoti hai jismai 20 crore sey 1 million sperms hotey hain. Pregnancy ka liye 3 crore active sperms ki zarorat hai magar es surat mein usually larki paeda hoti hai. Agar sperms zyada hongai to larka paeda hona ka chances mein ezafa hojata hai. Sperm ka jinsi quwwat ka sath koi ta'alluq nahi. Agar sperms bilkul khatam bhi hojain to bhi insan ki mardana quwwat per koi asar nahi parta aur woh jinsi amal ka liye bilkul fit hota hai. Essi liye baaz afrat jinsi lihaz sey bohut mazboot aur active hotey hain magar woh bacha paeda nahi kar saktey hain.

Seminal Fluid Quality - Mani Ki Quality

Isliye garam jagahoon per kam karna walai log maslan truck driver aur bakery mein kam karna walai logo ki garmi ki wajha sey sperms ki ta'adad kam hojati hai aur enki aksar batiyan paeda hoti hai. Essi tarhan computer per zyada kam karna walai logon ki bhi batiyan zyada hoti hain. Es liye nojawano ko chahiya ka woh apna testis ko thanda rakhai. Garmion mein tight kaprey special tight underwear na pahnai aur jab bhi bathroom jain apna testis ka ooper 2 to 3 mins thanda pani dal lain. (Shettles)

Golion ka ooper neechey jana koi kharabi nahi bul kay enka healthy function ka liye zarori hai. Es tarhan aik goli kuch bari hoti hai aur dusri kuch choti, yeh bhi koi defect nahi. Es sey pahla yeh bhi bataya ja chuka hai ka usually 85% left goli thora neechey hoti hai yeh bhi bilkul aik normal cheez hai. (Mobeen:Hyde)

Mani (Seminal Fluid)

) kay baad sab sey zyada ghalat batain mani (seminal fluid) ka barai mein mashoor hain. Aksar naujawan mani ki quality (seminal fluid quality) kay hawaley sey pareshan hotey hain kay yeh patli hai ya garhi, thori hai yeh zyada, taqat sey nikalti hai yeh baghair taqat ka. Neem hakeem isey bhi khoob exploit kartain hain.


Different Size Of Testicles - Khusyon Ka Size Khusyon (Testicles) Ka Size:

Baaz naujawan apney Khusyon ki jisamat kay hawaley sey fikar mand hotey hain. Aam tor per tasawwur kiya jata hai ka chotey size kay Khusyon wala insan jinsi tor per kamzor hota hai. Essi tarhan scrotum agar tani honay ka bajai dheli dhali aur latki hui ho ya bhi jinsi kamzori ki alamat samjhi jati hai. Jabka haqeeqat yeh hai ka testicles ka size yeh theli ki jild ki lachak ka jinsi quwwat kay sath koi ta'alluq nahi.

Khusyon (Testicles) Ki Golion Ka Ooper Neechey Hona:

Kuch naujawan isliye bhi pareshan hotey hain ka enka testis ki golian kabhi ooper chali jatin hain aur kabhi neechey. Es hawaley sey pareshan hona ki zarorat nahi kyun ka yeh kisi kharabi ki alamat nahi bul kay aik normal physiological process hai. Darasal Sperms testis mein paeda hotey hain. Enka zinda rahna ka liye zarori hai ka testis ka temperature jism sey kuch kam ho. Kyun ka agar testis ka temperature jism ka temperature ka baraber hojaiga to sperm marjaingai aur insan yeh to aulad paeda na kar sakaiga aur agar aulad hogi bhi to yeh zyada tar larkian hongi. Fitrat nai es silsilai mein aisa nizam banaya hai ka sardion mein yeh golian ooper jism ka kareeb chali jatin hain taqai required temperature barqarar rahey kyun ka zyada thandhak bhi sperms ka liye nuqsan deh hai aur garmion mein yeh golian jism sey door neechey chali jati hain taqai enka temperature jism ka temperature sey kam rahey aur sperms ko koi nuqsan na pohnchey. Yad rahey kay hiddat (heat) sperms ki dushman hai.

Erection Problems Solutions

Tanau (erection) bhi apni marzi sey paeda nahin kya ja sakta. jis tarah bhook paeda honay kay liye munasib uzwiati aur maholi (environmental) halaat (circumstances) zaroori hain, isi tarah tanau (erection) paeda karney kay liye bhi munasib uzwiati aur maholi muhij (stimulus) ka hona zaroori hai. Fard sirf uss waqt bhook mehsoos karta hai jab khana khaey kuch waqt guzar gaya ho. Iss kay elawa mahol aur khana kitna hi acha aur lazeez ho yeh awamil bhi bhook per asar andaz hotey hain. Isi tarah zakar (penis) mein tanau (erection) jab hoga jab fard jins (sex) kay hawaley sey sochey ga, parhey ga, dekhey ga, suney ga ya lums mehsoos karey ga waghaera. Yeh cheezein tanau (erection) kay liye muheej hain. Kyun kay kisi bhi fard ko apney tanau (erection) per control nahin. Isliye ba'az auqaat fard ko kisi namunasib jagah maslan class room ya ghar mein maan baap kay samney tanau ho jata hai. Jisey woh shaoori tor per khatam nahin kar sakta aur sharminda hota hai. Yani tanau per fard ko shaoori control nahin. Iss tarah naujawan apney tanau ko check karney kay liye kisi paeshawar aurat kay paas jatey hain, magar wahan kkoshish kay bawajood unn ko tanau nahin hota aur phir unn ko yaqeen aa jata hai kay woh biwi kay qabil nahin. Guzishta dinon merey paas ek naujawan larka elaj kay liye aya. Isey yaqeen tha kay woh na mard hai jab uss ka nafsiyati tajziya kya gaya to ma'aloom hua kay uss ko kaee baar zina ka moqa mila. Uss ney koshish bhi ki magar ehsas-e-gunah aur khauf ki wajah sey usey tanau hi na hua.

Erection Problems Solutions

Yani 30 saal ki umer mein fard jismani tor per 20 saal ki umer ki tarah mu'asser (efficient) nahin hota. Agarcha iss ki karkardagi bilkul khatam nahin ho jati. Zakar kay sath bhi yehi mu'amla hai. Yani umer kay barhney kay sath doosrey jismani a'aza ki tarah jinsi jazbaat ki shiddat aur zakar kay tanau aur sakhti mein qadrey kami aa jati hai. Yeh ek fitri amal hai jis sey pareshan honay ki zaroorat nahin. (zakar ki sakhti mein kami kay bawajood agar fard ki amoomi sehat theek hai to woh martey dum tk mubashrat kay qabil hota hai, agarcha 60 saal kay ba'ad ba'az logon ko shakhsi (self) ya biwi ki taraf sey ishte'aal (stimulation) ki zaroorat parrti hai).

Kya Apni Marzi Sey Tanau Paeda Kya Ja Sakta Hai…?

Ba'az naujawanon ka khayal hai kay jis tarah fard apni marzi sey jab chahey apni ungli ya bazu ko khara krsakta isi tarah woh apni marzi sey jab bhi chahey apney zakar ko akrra sakta hai. Magar jab woh aisa nahin kar pata to pareshan ho jata hai aur apney aap ko jinsi tor per kamzor aur na mard khayal karta hai. Yeh baat zehen mein rakhein kay tanau ka ta'alluq fard kay dimagh aur jism kay sath hai aur yeh tanau apni marzi, khwahish aur hukum (order) sey paeda nahin kya ja sakta yani koi fard humesha apni marzi sey tanau paeda nahin karsakta. Isi liye mahireen kehtey hain kay apni marzi sey har cheez hasil ki jasakti hai siwaey tanau kay. Darasal yeh bhook ki tarah ka ek uzwiati (physiological) amal (process) hai jis tarah koi fard apni marzi sey bhook paeda nahin kar sakta isi tarah

Less Erection - Tanau Mein Kami Jinsi Kamzori Ki Alamat

Aurat ki jinsi taskeen kay liye zakar kay sakht akrrao (hardness) ki hargiz zaroorat nahin. Hyte report sey bhi yehi sabit hua kay aurton ki aksaryat bohut sakht zakar aur zordaar jhatkon aur zarbaat (strokes) ko pasand nahin karti. Zakar ko kisi qadar sakht hona chahiyie, ta'hum iss ka koi paemana nahin. Iss ka ek hi meyar hai kay faraj mein daakhil ho jaey.

Tanau Mein Pehley Sey Kami (Less Erection) Jinsi Kamzori Ki Alamat…?

Kuch afraad jab unn ki umer 30 saal sey zyada ho jati hai to woh apney jinsi jazbaat ki shiddat mein kuch kami aur zakar kay tanau ki taaqat (strength) mein 17/18 saal ki umer ki nisbat qadrey kami mehsoos kartey hain, jo agarcha bohut ma'amooli hoti hai magar yeh afraad pareshan ho jatey hain. Jinsi jazbaat ki shiddat aur zakar ka tanau aur akrrao (hardness) 15 aur 20 saal ki umer kay doran bohut zyada hota hai. Neem hakeem iss ma'amooli kami ka ba'es mushtzani ya kasrat-e-jama'a (kay barhney kay sath sath jism kay har uzu ki taqat mein kami aa jati hai. Yeh cheez khel kay maedan mein bohut numaya'n hai. Aksar khelon kay numaya'n khilarri 20/25 saal ki umer kay lug bhug hotey hain. Magar 25 saal kay ba'ad inn ki karkardagi (strength) pehley ki tarah nahin rehti. International khelon mein 30 saal sey zyada umer ka khilarri shazz hi hota hai.

Painful Erection

Tanau ka ek hi meyar hai agar mian mubashrat kay waqt apney zakar ko biwi ki faraj mein dakhil kardey to uss ka tanau bilkul normal hai. Ta'hum ek baat yaad rahey kay insaani zakar kisi sakht cheez ya haddi ka bana hua nahin hai bul kay yeh narm gosht ka bana hua hai jo kay khoon ki naliyon mein zyada khoon janey sey tunn jata hai aur sakht ho jata hai. Tanau ki surat mein zakar kay bohut zyada sakht honay ki tawaqqa nahin ki ja sakti. Yeh ek bilkul normal kaifiyat hai.

Tanau Kay Waqt Zakar Mein Dard (Painful Erection)

Ba'az naujawan zakar mein tanau kay waqt dard mehsoos kartey hain iss ki wajoohaat mein zyada aam wajah maqami chot, ulcer, peeshab ki nali ya prostate gland mein sozish hai. Iss kay elawa zakar ka bohut zyada terha pan Peyroie's Disease hai. Iss surat mein kisi achey urologist sey raabta karein.

Kamyaab Jinsi Amal Kay Liye Zakar Ka Bohut Sakht Hona Zaroori Hai…?

Aksar naujawanon ka khayal hai kay biwi ki jinsi tasalli ( kay liye zakar ka bohut sakht hona zaroori hai. Allah Ta'ala ney zakar bohut hi narm o nazuk faraj mein dakhil honay kay liye banaya hai na kay deewar mein soorakh karney kay liye. Ta'hum 17 ta 19 saal ki umer mein fard ka zakar tanau mein bohut sakht (hard) hota hai. Iss umer mein isey jins e mukhalif kay liye istaemal nahin kya jata, chunancha adam istaemaal aur umer kay barhney kay sath sath iss ki sakhti mein qadrey kami aa jati hai jo kay ek bilkul normal amal hai.

Instant Erection - Fori Tanau

Jab thori bohut erection hoti hai to fard ko nehayat takleef hoti hai jis ki wajah sey fard nahin kar sakta kyun kay usey shadeed jismani aur zehni koft hoti hai. Abhi tak iska koi mu'asser elaj daryaft nahin hua lekin yeh beemari bohut hi ka mhai.

Fori Tanau - Instant Erection

Aksar afraad ka khayal hai kay fard ko bijli kay bulb ki tarah fori tanau hona chahiyie. Jab aisa nahin hota to isey jinsi kamzori samajhtey hain aur pareshan ho jatey hain. Naujawanon ka tanau 20 saal ki umer tal fori hota hai magar phir umer kay barhney kay sath batadreej kam hota jata hai yani shuru mein tanau fori hota hai 40 saal ki umer kay ba'ad qadrey takheer sey hota hai. 60 saal ki umer kay ba'ad zara der sey hota hai. Yeh bhi hosakta hai kay iss umer mein tanau kay liye biwi kay chuney aur sehlaney ki zaroorat parey. Yeh sab kuch normal amal (function) hai. Taza tareen research sey ma'aloom hua hai kay 20 saal ki umer mein fard ko fori tanau hota hai. 50 saal kay ba'ad jawani sey do guna aur 70 saal kay ba'ad teen guna waqt darkaar hota hai. Yeh sab kuch normal hai na kay koi beemari.

Zakar Kay Tanau Ka Meyaar

Ba'az auqaat kuch afraad iss wajah sey pareshan ho jatey hain kay shayad unn kay zakar ka tanau kafi nahin aur shayad woh mubaashirat kay qabil nahin. Hala'n kay unn kay paas tanau mapney aur janchney ka koi paemana aur meyar nahin. Yeh sirf unn ka khayal hota hai kay unn ka tanau kafi nahin.

Zakar Ki Kamzori Ki Alamat

Woh aurtein jin kay hath gudaaz hotey hain unn kay hath ki naliyan nazar nahin aatiin to kya unn kay hath mardon kay hathon sey zyada taqatwer hotey hain. Zahir hai kay aisa nahin. Lehaza zakar ki naliyon ka nazar aana bhi koi beemari nahi aur na hi koi fard iss sey jinsi tor per kamzor hota hai. Albatta khusya dani (scrotum) ki naliyan agar bohut zyada numayan hon to yeh ek beemari Varicose hai jis sey kuch logon ko ho sakta hai magar lazmi nahin. Iss surat mein kisi achey urologist sey mashwara kiya jaey.

Zakar Per Massey

Kisi bhi sehatmand insaan kay jism kay kisi bhi hissey per massey nikal saktey hain. Aam haalaat mein hum iss kaifiyat sey pareshan nahin hotey khwah yeh massey chehrey per hi kyun na hun. Isi tarah zakar per masson ka namoodaar hona bhi aam si baat hai na kay koi beemari. Yeh massey jinsi salahiyat per kisi tarah sey asarandaz nahin hotey, lekin la ilmi ki wajah sey aam naujawan inn masson per pareshan ho jatey hain. Yeh massey aasani sey nikaley ja saktey hain aur agar na bhi nikaley jaei'n to bhi koi harj nahin.

Zakar Per Sakht Gatthey Parr Jana

Amooman adherh umer kay ba'az logon kay zakar mein sakht qism kay gatthey ya gaanthein ban jati hain, yeh ek beemari hai jis ka pehli baar zikr ek French surgeon ney kya. Inn ki wajah sey zakar ka tanau muta'assir hota hai.

Zakar (Penis) Ki Kamzori Ki Alamat

Meine inn ko khat likha "doctor sahib aap apni shalwar utarein aur eeman dari sey dekhein kay kya aap ka zakar bilkul seedha hai" abhi taki jawab nahin aaya.

Zakar Kay Ooper Ubhri Rugein

Fard kay zakar mein tanau tab paeda hota hai jab uski khoon ki naliyan khulti hain aur zyada miqdar mein khoon inn naliyon mein dorta hai aur doosri taraf nisbatan kam khoon baher nikalta hai iss wajah sey khoon ki yeh naliyan numayan ho jati hain aur phool jati hain. Yeh naliyan jitni zyada khulein gi itna hi zyada khoon inn mein daakhil ho ga aur nateejatan tanau itna hi zyada aur jald hoga. Yeh ek bilkul normal aur mufeed kaifiyat hai. Neem hakeemon ki wajah sey naujawanon ki aksaryat isey bhi khatarnaak beemari aur kharabi samajhti hai. Iss ki bari wajah musht zani bataee jati hai jab kay iss ki koi haqeeqat nahin kyun kay woh afraad jinhoney kabhi musht zani nahin kii unn kay zakar ki naliyan bhi ubhri hoti hain.

Darasal jism kay har hissey mein jild kay neechey khoon ki naliyan (veins) hoti hain. Jism kay jin hisson mein charbi hoti hai wahan yeh saaf nazar nahin aatiin jaisey bazu waghaera magar jahan charbi nahi hoti wahan yeh saaf nazar aati hain. Zakar kay elawa hath ki pusht per bhi yeh naliyan amooman saaf nazar aati hain. Ba'az logon ki yeh naliyan zyada numayan hoti hain aur ba'az ki kam. Jin kay hathon ki naliyan zyada numayan hoti hain kya unn kay hath zyada kamzor hotey hain.

Zakar Ki Kamzori Ki Alamat

Amooman 1 cm. Fard kay zakar ka taerha pan koi beemari nahin, yeh ek bilkul normal, fitri amar hai. Iss wajah sey dakhool (penetration) mein koi diqqat nahin hoti. Jab kay neem hakeem isey khatarnaak beemari samajhtey hain, jis ki wajah mushtzani) ko qarar detey hain. Agar aap apni ungliyon ko akrra kar dekhein to woh bhi pencil ki tarah seedhi nahin hala'n kay innkay ander haddiyan hoti hain. Lehaza iss hawaley sey pareshan honay ki zaroorat hai aur na hi elaj ki. Albatta agar zakar bohut terha (45 ka zawiya) ho to yeh ek beemari hai. 'Peyronie's' hai ta'hum iski wajah bhi musht zani nahin. Yeh beemari amooman darmiyani umr kay mardon ko hoti hai. Ba'az auqaat yeh beemari achanak ho jati hai. Yani fard jab raat ko soya to woh bilkul theek tha magar jab subah jaga to zakar terha ho gaya. Iss surat mein zakar jar sey sakht aur ooper top per narm hota hai. Iss ka elaj amooman vitamin E sey kya jata hai. Aksar yeh elaj kay baghaer 6 maah tae k saal mein khud hi theek ho jata hai. Isliye elaj kay liye jaldi karney ki zaroorat nahin. Ta'hum behter yeh hai kay kisi acheydoctor sey mashwara kar lein.

Agar zakar thorey sey kuch zyada terha hai magar beemari nahin to yeh khush bakhti hai kyun kay iss surat mein ya to faraj (vagina) ki sides ko rugrrey ga jo zyada hassas hoti hain aur aurat ko zyada lutf aaey ga ya phir ko jo kay aurat ka doosra hassas tareen jinsi maqam hai jis ko rugerrney sey taqreeban 50% aurtein pani kharij karti hain.

Ek homeo doctor ney apni kitab mein likha kay zakar ka terha pan khatarnaak beemari hai jis ki wajah musht zani hai aur iss kay elaj ki zaroorat hai.

Zakar Ki Kamzori Ki Alamat Zakar Ki Jarr Per Baal Kamzori Ki Alamat…?

Baloghat mein har naujawan kay zer e naaf baal ugg aatey hain jo kay baloghat ki nishani hai. Islam mein inn baalo'n ko har 15 din ba'ad saaf karney ka hukum hai. Ba'az logon ka khayal hai kay safaee kay elawa iss sey mein bhi izafa hota hai. Ba'az auqaat zakar kay neechey waley hissey yani jarr per bhi baal ugg aatey hain. Iss surat mein bhi pareshan honay ki zaroorat nahin kyun kay yeh koi kharabi ya beemari nahin. Iss tarah mardon ki chaati per bhi baal hotey hain, kisi kay zyada, kisi kay kam aur kisi kay nahin bhi hotey. Yeh sab kuch normal hai albatta agar kisi fard kay chehrey aur zer e naaf baal na aaein to kisi achey doctor sey mashwara karein magar iska bhi fard ki mardana quwwat kay sath koi ta'alluq nahin. (mubeen)

Zakar Ka Ek Taraf Jhuka Hona Kamzori Ki Alamat…?

Aksar naujawanon ka khayal hota hai kay zakar ko pencil ki tarah seedha hona chahiyie na kay da'ein, ba'ein, ooper ya neechey ko jhuka hua. Akrra hua zakar da'ein taraf ko terha hota hai ya ba'ein taraf ko. Kisi ka ooper aur kisi ka neechey jhuka hota hai. Bohut hi kam logon ka akrra zakar bilkul seedha hota hai. Aisa hona bhi mushkil hai kyun kay zakar haddi ya kisi sakht cheez ka bana hua nahin hota (agarcha ba'az janwaron kay zakar mein haddi hoti hai) bulk ay narm gosht ka bana hota hai. Jab iss mein zyada khoon jata hai aur doosri taraf kam khoon nikalta hai to yeh akarr jata hai aur phir yeh kisi na kisi taraf murr jata hai. Amooman 85% logon ka zakar baei'n taraf ko terha hota hai, isi tarah amomman fard ka baya'n khusya (testicle) daei'n sey kuch neechey hota hai.

Zakar Ki Kamzori Ki Alamat

Agarcha ba'az khawateen motey zakar ko pasand karti hain ta'hum patley sey patla zakar bhi aurat kosey humkinar kar dey ga. Waisey zakar ki amoomi motaee 4 inch ta 4.5 inch hoti hai.

Jarr Sey Patla Zakar Kamzori Ki Alamat…?

Majeed ek naujawan client tha. 24 sala majeed ki haal hi mein shadi honay wali thi woh sakht fikrmand tha kyun kay uska zakar jarr sey patla tha. Uska khayal tha kay yeh mardana kamzori ki alamat hai, amooman aksar afraad ka zakar jarr sey patla aur ooper sey mota hota hai. Naujawan isey kamzori samajhtey hain neem hakeem iski wajah musht zani ) qarar detey hain hala'n kay yeh ek normal jismani haqeeqat hai na kay koi kharabi, lehaza pareshan honay ki zaroorat nahin. Darasal zakar ek ghubbarey ki tarah hai jo pubic bone kay sath jurra (fix) hota hai. Jab iski naliyon mein khoon daurta hai to yeh akarr jata hai magar chu'n kay neechey waley hissey mein zyada khoon nahin hota jis ki wajah sey nichla hissa kuch patla jab kay ooper wala hissa nisbatan zyada phool jata hai. Iss tarah ba'az afraad ka zakar darmiyan mein sey qadrey patla hota hai yeh bhi koi beemari nahin na hi iska elaj karaney ki zaroorat hai. Iski wajah yeh hoti hai kay ba'az afraad kay zakar ki naliyan darmiyan mein kuch patli hoti hain jis ki wajah sey wahan zyada khoon nahin jata aur wahan sey zakar kuch patla reh jata hai magar inn logon ko mukammal tana'u hota hai.

Relationship Between Sex Satisfaction And Size Of Penis

Bohut lamba zakar kisi bhi aurat ko pasand na tha kyun kay bohut lamba zakar bacha dani kay mu'nh per zarb lagata hai jis sey aurat ko takleef hoti hai. Isi liye bohut lambey zakar waley afraad nakhush hain, kyun kay unn kay lambey zakar ko dekhtey hi aurton ney sey inkar kardiya, isliye unn ki khwahish thi kay kaash unn ka zakar chota hota. (Hite)

Jinsi Lutf Aur Aurat Ki Tasalli Kay Liye Lamba Zakar Zaroori Nahin

Yeh khayal bhi aam hai kay aur biwi ko mutma'en karney kay liye lambey zakar (penis) ki zaroorat hai. Haqeeqat yeh hai zyada jinsi lutf aur biwi ki tasalli ka zakar ki lambaee kay sath koi ta'alluq nahin, kya lambi naak sey insaan ko zyada khushbuu aati hai ya kya barri aankhon sey zyada nazar aata hai. Aurat ko gosht nahin bul kay ek mohabbat karney waley insaan ki zaroorat hai. Waisey mubashrat mein zakar ki lambaee kay bajaey uski sakhti zyada ahem hai aur chota zakar nisbatan zyada sakht hota hai. Yani iss mein zyada tanau (erection) hota hai. Mazeed aurat ki faraj ka size 3 ta 4 inch hota hai aur faraj ka sirf baerooni 1/3 hissa yani pehla 1 ta 1.5 inch hissa hi zyada hassas hota hai. Iss ka peechey wala hissa zyada hassas nahin hota. tak 3 inch ka zakar bohu aasani sey pohonch jata hai. Mahireen ka khayal hai kay agar mard kay zakar ki lambaee 2 inch sey kuch zyada ho to yeh aurat ki faraj kay hassas hissey tak aasani sey pohonch jata hai jis sey aurat bharpoor lutfandoz hoti hai.

Women Conception About Men Penis

Iss ghalat fehmi ko iss tarah duur kya jasakta hai.

  1. Tanau (erection) honay per fard aaeyney kay samney khara ho kar side sey apney zakar ko dekhey to uss ki ghalat fehmi duur ho jaey gi.
  2. Akrey huey zakar ki paemana sey aazma'esh kar li jaey to bhi ghalat fehmi duur ho jaey gi. Khushkhabri yeh hai kay aksar afraad ka zakar unn kay apney khayal sey bara hota hai.

Agarcha zakar ki lambaee ka koi meyar nahin ta'hum ek survey kay mutabiq America mein 50% logon ka zakar 5 inch sey kam hota hai aur lambey sey lamb 13 inch ka. Magar wahan 4 inch ka akrra hua zakar normal mil jata hai. Pakistan mein 3 inch ka akrra (erected) hua zakar normal samjha jata hai. Qadd kaath ka zakar ki lambaee kay sath koi ta'alluq nahin. Albatta hathon kay size ka zakar kay size kay sath kuch ta'alluq hai. Amooman barey hathon waley afraad kay zakar lambey hotey hain. Mahireen ka khayal hai kay woh zakar jo faraj (vagina) mein dakhil ho jaey normal hai. (Hyde)

Kya Aurtein Lamba Zakar Pasand Karti Hain?

Aam mardon ka khayal hai kay bara zakar behter hai kyun kay aurtein lamba zakar pasand karti hain, jab kay aurtein zakar kay size kay hawaley sey kam hi sochti hain. Bohut kam aurtein lambey zakar ko pasand karti hain. Hite ki research kay mutabiq aksar aurtein chotey zakar ko pasand karti hain. Ek aur research sey ma'aloom hua kay aurton ko ausat (average) size ka zakar pasand tha.

Misconception About Size Of Penis

Bohut sey naujawanon ka khayal hota hai kay unn ka zakar lambaee mein chota hai jis ki wajah sey woh shaadi kay qabil nahin hotey. Aksar naujawanon ko apney zakar (penis) kay hawaley sey sirf ghalat fehmi (misconception) hoti hai kay woh chota hai hala'n kay woh chota nahin hota. Iss ghalat fehmi ki kaee wajoohaat hain.

  1. Fard apney zakar ko ooper sey dekhta hai, jiski wajah sey sara zakar nazar nahi aata aur fard samajhta hai kay uss ka zakar chota hai. Mazeed agar fard ka paet kuch nikla hua ho to woh bilkul hi chota nazar aata hai.
  2. Iss kay elawa naujawan fahash films kay hero kay zakar kay sath apney zakar (penis) ka mawazna kartey hain. Fahash films mein kaam karney kay liye aisey afraad ka intekhab kya jata hai jin ka zakar (penis) lamba ho maslan ek American actor ka zakar 18 inches lamba hai. Iss kay elawa camera trick ki madad sey aam zakar ko lamba kar kay dikhaya jata hai jis ki wajah sey iss actor ka zakar muqablatan bohut lamba nazar aata hai.
  3. Ba'az naujawan apney sukrrey juey bohut chotey zakar sey apney asal zakar kay size ka andaza lagatey hain jab kay ba'az logon ka sukrra hua zakar bohut chota ho jata hai jab kay akarr kar kafi lamba ho jata hai. Lehaza zakar ka asal size akrrahat wala hota hai.
  4. Iss tarah ba'az naujawan apney doston kay barey zakar kay sath apna muqabla kartey hain agarcha inn ka zakar kuc

Mazeed Jinsi Mughalitey (More Sexual Misconceptions) Mardon Kay Masail Aur Hal

Zakar Ka Size (Size of penis)

Ek walid apney naujawan betey ko ley kat merrey paas aya, baap ney bataya kay iss kay betey ko koi masla hai. Naujawan bohut khaufzada aur ghabraya hua lag raha tha. Meine walid ko kamrey sey janey ko kaha ta'kay mein bachey sey khul kar baat kar saku'n. Ju'nhi walid kamrey sey baher nikla, betey ney foran apni shalwar khol di aur bataya kay uska zakar bohut chota hai, jiski wajah sey woh apni biwi ko mutma'en nahin kar sakey ga. Uski jald shadi honay wali thi.

Mardon mein zakar kay hawaley sey bohut sey khadshaat aur ghalat fehmiyan (misconceptions) paee jati hain. Aksar mard apney zakar ki shakal, size, saakht aur motaee kay hawaley sey bohut hassas (concious) hain. Sab sey pehley lambaee ko letey hain.

Jis tarah saarey mard qadd kay lehaz sey baraber nahin yani unn kay qadd mein farq aur ikhtilaf hai, isi tarah unn kay zakar ka size ek jaisa nahin. Kisi ka zakar bara aur kisi ka chota. Zakar ki lambaee ka fard kay qadd kaath kay sath koi ta'alluq nahin. Iss silsiley mein America mein ek survey hua to ma'aloom hua kay sab sey lamba zakar uss fard ka tha jis ka qadd ausat (average) sey kam tha. Mera ek client jiska qadd 6 feet sey zyada tha, kay zakar ka size aam logon sey kam tha.

Male Genitalia: Prostate Gland - Cowper Gland

Mard kay masaney ki pichli taraf do naaliyan hoti hain jin koi (seminal fluid) ki thaeliyan (seminal vesicles) kaha jata hai, mani ka ek hissa inn naaliyon mein tayyar hota hai, yeh naaliyan har waqt kam karti rehti hain, jis ki wajah sey mani ki tayyari ka amal har waqt jari rehta hai. Yeh naaliyan amooman 3.5 din ba'ad bhar jati hain.

Masaney kay mu'nh kay qareeb ek ghudood hota hai jisey prostate gland kaha jata hai iski shakal akhrot jisi hoti hai yeh sirf mardon mein hota hai, aurton mein nahin hota. Iss mein inzal kay waqt ek khas ratoobat nikalti hai jo mani mein shamil ho kar iska hissa ban jati hai. Prostate ki ratoobat mein sperms kay liye khoorak hoti hai. Prostate gland kay neechey peeshab ki nali kay qareeb ek aur gland hota hai jo cowper's gland kehlata hai. Jinsi haejaan mein ya inzal sey pehley yeh gland shaffaf ratoobat kay ek do qatrey kharij kar deta hai.

Male Genitalia: Testicles - Mardana Jinsi Aaza

(Mardana jinsi aaza) mein doosra ahem uzu (khusyey) hotey hain. Yeh do goliyon ki surat mein ek theli khusya dani (scrotum) kay ander zakar kay neechey latak rahey hotey hain. Inhein hath sey mehsoos kya ja sakta hai. Amooman baya'n khusya da'ein sey qadrey bara hota hai aur iss sey kuch neechey hota hai. Khusyon mein do tarah kay cell hotey hain. Ek qism jinsi hormone ) paeda karti hai jis sey fard mein jinsi khwahish aur zakar mein tanau paeda hota hai. Doosri qism paeda karti hai jis sey bacha paeda hota hai.

Paeda'esh sey pehley yeh khusyey bachey kay paet mein hotey hain, bachey ki paeda'esh sey thori der pehley yeh paet sey uter kar khusya dani mein aa jatey hain. Kabhi kabhar aisa bhi hota hai kay sirf ek hi khusya paet sey khusya dani mein aa jata hai doosra paet mein reh jata hai. Iss ko neechey laney kay liye operation ki zaroorat parti hai. Agar kisi wajah sey doosra khusya, khusya dani (scrotum) mein na aa sakey to bhi preshan honay ki zaroorat nahi kyun kay ek khusya bhi na sirf tamam jinsi af'aal kamyabi sey anjam dey sakta hai bul kay aulad bhi paeda kar sakta hai. Merey ek client ka sirf ek hi khusya th aur uski jinsi karkardagi munasib thi.

Agar kisi wajah sey donon khusyey (testicles), khusya dani mein na utrein jo kay bohut hi kam hota hai to fard bachey to paeda na kar sakey ga, albatta mubashrat kar sakey ga. Iss liye walaedaen kay liye zaroori hai kay bachey paeda honay kay ba'ad bachey kay khusyon ko zaroor tatol kar check kar lein. Agar kisi wajah sey khusyey neechey na utrey hun to 2 saal ki umer tak bachey ka operation kara liye jaey ta'kay khusyey neechey uter aaein.

Male Genitalia: Testicles - Mardana Jinsi Aaza

(Mardana jinsi aaza) mein doosra ahem uzu (khusyey) hotey hain. Yeh do goliyon ki surat mein ek theli khusya dani (scrotum) kay ander zakar kay neechey latak rahey hotey hain. Inhein hath sey mehsoos kya ja sakta hai. Amooman baya'n khusya da'ein sey qadrey bara hota hai aur iss sey kuch neechey hota hai. Khusyon mein do tarah kay cell hotey hain. Ek qism jinsi hormone ) paeda karti hai jis sey fard mein jinsi khwahish (

Paeda'esh sey pehley yeh khusyey bachey kay paet mein hotey hain, bachey ki paeda'esh sey thori der pehley yeh paet sey uter kar khusya dani mein aa jatey hain. Kabhi kabhar aisa bhi hota hai kay sirf ek hi khusya paet sey khusya dani mein aa jata hai doosra paet mein reh jata hai. Iss ko neechey laney kay liye operation ki zaroorat parti hai. Agar kisi wajah sey doosra khusya, khusya dani (scrotum) mein na aa sakey to bhi preshan honay ki zaroorat nahi kyun kay ek khusya bhi na sirf tamam jinsi af'aal kamyabi sey anjam dey sakta hai bul kay aulad bhi paeda kar sakta hai. Merey ek client ka sirf ek hi khusya th aur uski jinsi karkardagi munasib thi.

Agar kisi wajah sey donon khusyey (testicles), khusya dani mein na utrein jo kay bohut hi kam hota hai to fard bachey to paeda na kar sakey ga, albatta mubashrat kar sakey ga. Iss liye walaedaen kay liye zaroori hai kay bachey paeda honay kay ba'ad bachey kay khusyon ko zaroor tatol kar check kar lein. Agar kisi wajah sey khusyey neechey na utrey hun to 2 saal ki umer tak bachey ka operation kara liye jaey ta'kay khusyey neechey uter aaein.

Male Genitalia: Penis - Mardana Jinsi Aaza Mardana Jinsi A'aza

Mard kay jinsi a'aza (male genitalia) mein sab sey ahem uzu tanasul ya hai. Yeh naaf kay neechey donon tango'n kay darmiyan latka hota hai aur aksar sukrra hua aur dheela dhaala sa hota hai iss kay ooper mazboot lekin bey hudd narm aur mula'em khaal hoti hai. Zakar ki androoni satah kisi sponge jaisi hoti hai jis mein lachakdaar raeshey aur khoon ki sharyanei'n hoti hain. Jab inn naaliyon mein khoon jata hai to iss mein tanau) paeda ho jata hai. Zakar kay teen hissey hotey hain:

  1. Iss ka agla hissa supari ya hashfa kehlata hai, jinsi tor per mard ka sab sey hassas hissa yehi hota hai
  2. Darmiyani hissa jisey shaft kaha jata hai.
  3. Aakhri jar wala hissa

Zakar kay teen ahem function hain:

  1. Iss kay zaryey peeshab kharij hota hai.
  2. is ski madad sey ki jati hai.
  3. Sperm mani kay zaryey peeshab ki nali sey kharij hotey hain.

Nikah Is The Best Solution Of Zina

Kuch log jaanwaron kay sath jinsi fael kartey hain. Yeh na sirf ek bohut bara gunah hai bul kay iss sey fard ko bohut si jinsi beemariyan lag jati hain. Iss tarah ki harkat shehron mein kam aur dehaton mein zyada hoti hai. Jaanwaron ko churaney waley naujawan amooman iss mein mulawwis ho jatey hain. Islam mein aisey fard kay liye sakht saza hai.

Zina Ka Hal - Solution Of Zina

Hazrat Abdullah bin Mas'ood sey marvi hai kay Rasool Allah ney farmaya "Aey naujawanon tum mein jo koi nikah ki isteta'at rakhta hai woh nikah karey kay yeh ajnabi aurat ki taraf nazar karney sey rokney wala hai aur sharam gaah ki hifazat karney wala hai aur jis mein nikah ki isteta'at nahi woh rozey rakhey kay roza qatae shahoot hai" (Bukhari, Muslim)

Zina ki jin wajoohaat ka guzishta auraaq mein zikr hua hai unka tadaruk kya jaey. Bey hayaee, uryaani, bey pardagi, fahaashi aur makhloot majalis waghaera ka khatima kya jaey. Sports aur doosri masbat sargarmiyon ko farogh diya jaey.

Internet Chatting And Phone Friendship

Aaj kal jinsi beyrahravi ki ek ahem wajah internet chatting aur phone per gupshup hai. Bohut sey afraad ek planning kay tehet bholi bhali bachiyon ko warghalatey hain, maan baap ko chahiyie kay koshish karein kay ghar mein jawan bachiyan phone attend na karein bul kay koi mard ya bari umr ki khatoon phone sunein. Iss tarah internet istaemal karney waley bachon ki nigraani ki jaey ta'kay woh iska ghalat istaemal na kar sakein. Amooman larkey larkiyan ban kar larkiyon sey gupshup kartey hain aur phir waqt per larki ko asli soorat-e-haal sey aagah kartey hain. Ab inn haalaat mein larki kay liye peechey hutna mushkil ho jata hai iss tarah paesha war aurtein naujawan larkonka shikar karti hain.

Doosri Soorat

Mard ka mard kay sath mubashrat karna, isko qom-e-loot ka amal (homosexuality) kaha jata hai. Islam mein fa'el aur maf'ool donon kay liye sakht saza hai. Ek barey gunah kay elawa aaj kay daur mein yeh amal AIDS aur doosri jinsi beemariyon kay phaelney ki ek bohut bari wajah hai. Yeh amooman bachpan sey shuru hota hai. Amooman fa'el aur maf'ool qareebi dost ya aziz hotey hain. Aksar fa'el bari umer ka hota hai jis ki wajah sey woh kam umer rishtey daar ya dost ko behla phusla kar ya dara dhamka kar yeh kaam karta hai. Iss kay elawa woh naujawan jo ikatthey sotey hain chahey woh sagey bhaee hi kyun nah un, ba'az auqaat iss ka shikar ho jatey hain. Merey paas iss tarah kay kaee case aatey hain jahan ek bhaee ney doosrey bhaee sey budfaeli ki. Iss sey bachney kay liye zaroori hai kay waladaen chotey bachon ki nigraani karein. Inn ko barey bachon kay sath akela na honey dein.


Male Tutor For Female Student

  1. Barey shehron mein ki ek bari wajah mard tutor hain. Bohut sey gharaney apni jawan larkiyon ko mard hazraat sey tuition parhwatey hain. Budqismati sey taqreeban har mard bachiyon ko phuslaney ki koshish karta hai. Ek naujawan larkey aur larki ko ghanton ikatthey bethney ka moqa dey kar yeh tawaqqa rakhna kay kharabi na hogi saadgi ya himaqat ki inteha hai. Ghee aag kay paas para ho aur phir bhi na pighley….na mumkin. merey paas gahey ba gahey iss tarah kay cases aatey rehtey hain.
  2. Budqismati sey humarey haan sex education nahin hai jis ki wajah sey taqreeban 70% sey zyada khawateen jinsi tor per mutmaen nahin hotiin. Dunya mein sex kay ek bohut barey muhaqqiq Alfred Kinsey ney Calcutta mein ek lecture kay doran kaha kay Asian aurat maan banti hai hutta kay dadi, nani ban jati hai magar woh saari umer (jinsi lutf) hasil nahin karti. Aisi aurtein shadeed frustration ka shikar hoti hain. Aisi aurton mein kuch sabar, shukar kar leti hain, kuch nafsiyati beemariyon ka shikar ho jati hain aur kuch jinsi beyrahrawi mein mubtala ho jati hain. Merey paas ek 40 sala khatoon aaee'n unhon ney mujhey bataya kay woh saari umer kabhi jinsi tor per mutmaen na huiin aur ab unka gunah karney ko dil chahta hai. Na janey kitni aurtein iss wajah sey gunah mein mulawwis ho jati hain. Hum iss hawaley sey Lahore aur doosrey shehron mein har maah ek roza seminar/workshop ka intezam kartey hain jis mein ko zyada purlutf bananey, biwi ko mutmaen karney aur ghareloo zindagi ko khushgawar bananey kay tips batatey hain.

Zina Ki Wajoohaat

America mein amooman talaq ki sharah 50% sey zyada hai jab kay California mein 4 shadiyon mein sey 3 talaq per khatam hoti hain yani wahan talaq ki sharah 75% hai. Merey paas taqreeban har maah ek do case aisey zaroor aatey hain jahan makhloot majalis ki wajah sey doosri aurat ya mard mein involve ho jatey hain aur ghar bachaney kay liye humari madad talb kartey hain na janey woh shadi shuda log kitney hain jo humarey paas nahin aatey aur jinsi beyrahrawi ) mein mubtala rehtey hain . Iss tarah na janey kitney ghar khamoshi sey ujarr jatey hain.

  1. Cousin culture: humarey haan amooman bachiyan apney cousin larkon kay sath mael jol mein kuch zyada hi frank ho jati hain aur ghanto'n alaehdgi mein gupshup karti hain jis ki wajah sey larkon ko unhein flirt karney kay mawaqae mil jatey hain, iss tarah bohut si bachiyan inn cousins kay hathon lutt jati hain. Hala'n kay Allah kay Nabi ney sagey jawan behen bhaee ko bhi tanhayee mein bethney sey mana farmaya hai. Isi tarah bohut sey behnoee apni saaliyon sey flirt karney ki koshish kartey hain aur iss gunah kay murtakib hotey hain.
  2. Jinsi beyrahrawi ka ek aur bara sabab khawateen ka mardon kay sath kaam karna hai. Secretary level ki ek khatoon CSP officer ney mujhey bataya kay mardon kay sath kam karney wali kam az kam 50% aurtein apni izzat bachaney mein nakaam rehti hain, isliye nurses aur istaqbalia (reception) per kaam karney wali khawateen kay liye apni asmat bachana naa mumkin nahin to bohut mushkil zaroor hai. Taqreeban 100% mulazimat paesha khawateen mardon ki jinsi harassment ka shikar hoti hain.

Parda In Islam And Quran In Urdu - Parda In Pakistan And India

  1. ki bohut bari wajah mahol hai. Tamam mahireen iss baat per muttafiq hain kay aurat ki sab sey bari zeenat uska chehra hai aur Islam mein zeenat ko chupaney ka hukum hai. Koi maney na maney Islam mein pardah farz hai. Jin mu'aashiron mein jitni zyada bey pardagi hai wahan utni hi zyada i(sexual perversion) hai. Mahireen e nafsiyat iss baat per bhi muttafiq hain kay mard basarat sey jinsi tor per mushta'el hota hai. Yani mard kay jinsi jazbaat aurat ko dekh kar mushta'el hotey hain jab kay aurtein amooman bazarya basarat jinsi tor per mushta'el nahin hotiin. Isliye Islam mein aurat ko pardey ka hukum diya gaya hai na kay mard ko. Waisey mardo'n ko nigaahein jhukaney ka hukum hai. Pakistan kay ek bohut barey girls college kay barey mein ma'aroof hai kay iss idaarey ki kam az kam 60% bachiyan ba asmat nahin rehtiin. Iss idarey ki taqreeban sab bachiyan bey parda hain. Darasal bey pardagi mein mard o khawateen kay milney kay mawaqae zyada ho jatey hain jis sey zina kay mawaqae bhi zyada paeda ho jatey hain. daar khatoon sey koi mard milney ya guftugoo karney ki koshish nahin karta.
  2. bhi zina ka ek ahem sabab hai. Makhloot talim mein naujawan larkey aur larkiyon ko milney kay mawaqae zyada miltey hain. Larkey, larkiyon ko flirt kartey hain aur larkiyan ishq aur shadi kay laluch mein apni esmat ga'nwa bethti hain.
  3. jinsi beyrahrawi ka ek bara zarya hai. America kay woh elaqey maslan California jahan aurat aur mard kay milney kay zyada mawaqae hain wahan jinsi beyrahrawi zyada hai aur talaq ki sharah bhi baqi mulk kay muqabley mein zyada hai.

Zina Ki Wajoohaat - Mardana Taqat Test By Zina With Tawaif


Allah kay Nabi ney hamsaya (neighbour) ki aurat sey zina ko aam zina sey zyada bura qarar diya hai. Isi tarah qareebi rishtey daaron kay sath zina bohut hi buri harkat hai. Yaad rahey kay dakhool (penetration) kay ba'ad donon per l farz ho jata hai chahey inzal ho ya na ho. Yeh (sexual perversions) maghrib khusoosan America mein bohut aam hai. Ek survey kay mutabiq 97% mard aur 80% aurtein shadi sey pehley mubashrat kar chukey hotey hain. (Hyde)

Zina Ki Wajoohaat

  1. Jinsi khwahish ) ko poora karney kay liye mard sab sey zyada paesha war aurton tawaif kay paas jatey hain, inn mein aksar aurtein beemaar hoti hain jin sey sozak, aatishik aur AIDS jaisi mohlik aur khatarnaak beemari lagney ka qawi imkan hota hai, inn sey her soorat bachna chahiyie. Ba'az naujawan apni jinsi salahiyat ko check karney kay liye paeshawar aurton kay paas jatey hain. ko check karney ka yeh budtareen tariqa hai. Jab bhi koi fard shaoori tor per apni mardana taqat check karney ki koshish karta hai to woh khauf aur ehsas e gunah ki wajah sey akser nakaam rehta hai. Usko ya to tanau ( hota hi nahin ya phir jaldi khatam ho jata hai, ya phir jald inzaal ho jata hai hala'n kay jawani mein taqreeban koi bhi fard mardana tor per kamzor nahin hota. Jis fard ko kisi bhi waqt tanau (erection) hota hai who bilkul normal hota hai, kharabi uskay dimagh mein hoti hai jis kay liye neem hakeem ya doctor ki bajaey mahir e nafsiyat sey elaj ki zaroorat hoti hai.

Zina - Zina In Islam And Quran - Zina Ki Saza In Islam Zina

Adultery

i (semen) kay ikhraj ka chotha zarya zina hai jo kay hai jis sey har soorat mein bachna chahiyie. Quran majeed mein irshad hai kay "zina kay qareeb na phatko, woh bohut bura fael hai aur bara hi bura rasta hai" (Bani Israel ayat 32)

Zina ki kaee surtein hain maslan

Mard ka apni biwi kay elawa kisi aur aurat sey (Intercourse) karna ya biwi ka apney khawand kay elawa kisi aur mard sey mubashrat karna. Zina muashirey ki tabahi ka ek bohut bara unser (factor) hai. Isliye Islam mein zina ki sakht saza hai. Shadi shuda fard kay liye sangsaari aur ghaer shadi shuda kay liye 100 korey. Quran majeed mein irshad hai kay "zania aurat aur zani mard donon mein sey har ek ko so (100) korey maro aur inn per taras khaney ka jazba Allah kay deen kay muamley mein tumko daman geer na ho, agar tum Allah aur roz e aakhirat per eemaan rakhtey ho aur inko saza detey waqt ahl e eemaan ka ek groh mojood rahey" (sura noor ayat 2)

Musht Zani Per Control - Stop Masturbation

  1. See full size image
  2. Khelon ki taraf zyada tawajjuh dii jaey. Pasandeeda khelon mein hissa liye jaey. Agar fard khelon mein bharpoor hissa ley to uski tawajjuh sex ki taraf kam ho jati hai, aur musht zani ki ta'adaad (frequency) bohut kam ho jati hai.
  3. Masbat mashagil (hobbies) ko ikhtiyar kya jaey, laziman kuch waqt rozana sehat mand mashaghil mein sarf kya jaey, iss sey khud lazzati ki taraf tawajjuh kam ho jaey gi.
  4. Rafah e aamma kay kaamo'n mein dilchaspi lein, muhalley ki behetri kay liye koi kaam karein, logon ki khidmat karein, boorho'n ki madad karein.
  5. Amooman fard kisi ek khaas jagah musht zani karta hai, phir woh jab bhi uss jagah jata hai to woh bey ikhtiyar musht zani kar leta hai, chunancha aaenda jab bhi musht zani karna chahein to jagah badal lein. Iss sey musht zani ki ta'adaad (frequency) kam ho jaey gi.
  6. Aksar auqaat fard ek khaas waqt per musht zani k arta hai amooman naujawan raat ko kartey hain, aaenda raat kay bajaey subah karein, chund dino'n kay ander musht zani ki ta'adaad kafi kam ho jaey gi.
  7. Aksar naujawan ek khaas ta'adaad mein musht zani kartey hain maslan haftey mein do baar waghaera aaenda sey iss ki ta'adaad kam kardein to aap ka control barh jaey ga.

  8. Khelon ki taraf zyada tawajjuh dii jaey. Pasandeeda khelon mein hissa liye jaey. Agar fard khelon mein bharpoor hissa ley to uski tawajjuh sex ki taraf kam ho jati hai, aur musht zani ki ta'adaad (frequency) bohut kam ho jati hai.
  9. Masbat mashagil (hobbies) ko ikhtiyar kya jaey, laziman kuch waqt rozana sehat mand mashaghil mein sarf kya jaey, iss sey khud lazzati ki taraf tawajjuh kam ho jaey gi.
  10. Rafah e aamma kay kaamo'n mein dilchaspi lein, muhalley ki behetri kay liye koi kaam karein, logon ki khidmat karein, boorho'n ki madad karein.
  11. Amooman fard kisi ek khaas jagah musht zani karta hai, phir woh jab bhi uss jagah jata hai to woh bey ikhtiyar musht zani kar leta hai, chunancha aaenda jab bhi musht zani karna chahein to jagah badal lein. Iss sey musht zani ki ta'adaad (frequency) kam ho jaey gi.
  12. Aksar auqaat fard ek khaas waqt per musht zani k arta hai amooman naujawan raat ko kartey hain, aaenda raat kay bajaey subah karein, chund dino'n kay ander musht zani ki ta'adaad kafi kam ho jaey gi.
  13. Aksar naujawan ek khaas ta'adaad mein musht zani kartey hain maslan haftey mein do baar waghaera aaenda sey iss ki ta'adaad kam kardein to aap ka control barh jaey ga.
  14. Khelon ki taraf zyada tawajjuh dii jaey. Pasandeeda khelon mein hissa liye jaey. Agar fard khelon mein bharpoor hissa ley to uski tawajjuh sex ki taraf kam ho jati hai, aur musht zani ki ta'adaad (frequency) bohut kam ho jati hai.
  15. Masbat mashagil (hobbies) ko ikhtiyar kya jaey, laziman kuch waqt rozana sehat mand mashaghil mein sarf kya jaey, iss sey khud lazzati ki taraf tawajjuh kam ho jaey gi.
  16. Rafah e aamma kay kaamo'n mein dilchaspi lein, muhalley ki behetri kay liye koi kaam karein, logon ki khidmat karein, boorho'n ki madad karein.
  17. Amooman fard kisi ek khaas jagah musht zani karta hai, phir woh jab bhi uss jagah jata hai to woh bey ikhtiyar musht zani kar leta hai, chunancha aaenda jab bhi musht zani karna chahein to jagah badal lein. Iss sey musht zani ki ta'adaad (frequency) kam ho jaey gi.
  18. Aksar auqaat fard ek khaas waqt per musht zani k arta hai amooman naujawan raat ko kartey hain, aaenda raat kay bajaey subah karein, chund dino'n kay ander musht zani ki ta'adaad kafi kam ho jaey gi.
  19. Aksar naujawan ek khaas ta'adaad mein musht zani kartey hain maslan haftey mein do baar waghaera aaenda sey iss ki ta'adaad kam kardein to aap ka control barh jaey ga.

Greater Sins In Urdu - Gunah e Kabira Ki List In Urdu

  1. Halala karney wala aur halala karwaney wala
  2. Peeshaab kay chee'nton sey perhaez na karna
  3. Jaanwaron kay mu'nh per daagh lagana
  4. Dunya kay husool kay liye ilm hasil karna aur ilm ko chupana
  5. Khayanat karna
  6. Ehsaan jatlana
  7. Taqdeer ko jhutlana
  8. Logon ki posheeda baton kit oh lagana
  9. Chughal khori karna
  10. Bilawajah la'anat karna
  11. Dhoka dena aur ahed poora na karna
  12. Najoomi aur kahan ki tasdeeq karna
  13. Khawand ki nafarmani karna
  14. Bilazaroorat tasweer banana
  15. Museebat kay waqt tamanchey marna, noha karna, kaprey pharna, ser kay baalon ko mundwadena, baalon ko nochna, halakat aur tabahee ki bud dua'en karna
  16. Zulm aur sarkashi karna
  17. Kamzor ghulam, londi, biwi ya janwar per zulm karna
  18. Parosi ko takleef dena
  19. Musalman ko takleef ya gali dena
  20. Takabbur ya baraee ki gharz sey tehband takhno'n sey neechey rakhna
  21. Soney chaandi kay bartanon mein khana peena
  22. Mardon ka sona ya resham pehenna
  23. Ghulam ka bhaag jana
  24. Ghaer Allah kay naam per zibah karna
  25. Jaan boojh kar haqeeqi nasb ka izhar karna
  26. Jhagraloo pan ka muzahira karna

Greater Sins In Urdu - Gunah e Kabira

To phir iss per yeh daleel di jati hai kay amal e qom e loot ko to Quran mein wazeh tor per haram qaraar dya gaya hai. Quran majeed kay muta'alley sey ek baat samney aati hai kay ba'az jagah Quran majeed ney ek cheez ki hurmat ki taraf sirf ishara kya magar kisi doosri jagah isey wazahat sey haram qarar dey diya gaya. Yani koi aisa gunah e kabira nahin jis ko Quran o hadees mein wazahat sey beyan na kya gaya ho. Chunancha Quran majeed mein musht zani kay haram honay ki koi wazeh ayat mojood nahin. Iss tarah Allah kay nabi ney bhi isey haram qaraar nahi diya. Meine ahadees ki ahem kutub ko chaan maara, mujhey musht zani ki hurmat per koi ek bhi hadees nahin mili. Sirf Anas bin Malik kay hawaley sey ek hadees ka zikr aata hai magar ahl e ilm ney isey ghareeb qarar diya hai kyun kay is ski sanad mein ba'az ravi majhool aur za'eef hain.

Phir meine ulma e ahl e hadees aur ahnaaf sey bhi rabta kya to woh bhi kisi sahi hadees ki taraf meri rehnumaee nahin kar sakey, yeh masla mojooda daur ki paedawar nahin bul kay Allah kay nabi kay daur mein bhi tha. Meri naqis ra'ey mein Allah aur us kay nabi ney iss masley sey sarf-e-nazar kya hai. Chunancha Imam Zehbi ney apni mashhoor kitab 'Gunah e Kabira Ki Kitab' mein 79 gunah e kabira ka zikr kya hai. Jo darj zael hain:

  1. Allah kay sath shirk karna
  2. Qatal karna
  3. Jadu karna
  4. Namaz chorna
  5. Zakat ada na karna
  6. Mah e Ramzan ka roza bina uzr chorna

Musht Zani In Islam

Yeh naaliyan taqreeban 3.5 din ba'ad bhar jati hain, mani ka ikhraj na honay per inn mein irritation aur tension hoti hai jis ki wajah sey fard khudlazzati/musht zani per majboor ho jata hai.

Musht Zani kay hawaley sey imamo'n ki ra'ey mein ikhtilaf hai.

  1. Imam Malik aur Imam Shafa'ee isey gunah aur haram samajhtey hain.
  2. Imam Abuhanifa kay nazdeek gunah sey bachney kay liye ba'waqt e zaroorat ki ja sakti hai aur Khuda maaf farma dey ga.
  3. Imam Han'bal isey ja'ez samajhtey hain aur in kay nazdeek iss ka koi gunah nahin.

Islam mein halal aur haram bohut wazeh hain. Islam ka ek bunyaadi usool yeh hai kay har cheez halal hai jab tak Allah aur uskay Rasool ney usko haram na qarar diya ho. Quran Majeed mein musht zani kay haram honay ka kahin bhi wazeh zikr nahin. Ba'az ulma'a ney sura Momineen ki aayat 5,6 :

"yaqeenan falah paee eeman laney walo'n ney jo …apni sharamgaho'n ki hifazat kartey hain, siwaey apni biwiyon aur londiyon kay"

sey akhaz karney ki koshish ki hai kay yeh haram hai jab kay bohut sey doosrey ulma'a ney yeh mafhoom nahin liye. Kuch ney kaha kay iss sey muraad mat'aa hai ba'az ney kaha kay iss sey muraad zina hai. Yani iss hawaley sey ahl e ilm mein khasa ikhtilaaf hai. Agar iss sey murad musht zani li jaey to phir iss sey yeh nukta bhi nikalta hai kay biwi aur londi ki har cheez ja'ez hai aur halal hai yani maq'ad mein mubashrat karna bhi ja'ez aur halal hoga.

Masturbation In Islam

Woh log jo jail mein hotey hain ya kisi wajah sey jinsi amal sey mehroom hotey hain, unki jinsi salahiyat kam honay lagti hai yani jinsi sargarmi (activities) sey jinsi salahiyat ) mein izafa hota hai.

Note: mein iss hissey ko kitab mein shamil na karna chahta tha phir socha kay aisa karna ilmi bud diyaniti ho gi.

Mardon kay do ahem jinsi masail surat e inzal () aur namardi hain. Inn donon amraz kay elaj ka sab sey mu'asser tariqa elaj musht zani hi hai jo poori dunya mein kaamyabi sey istemaal ho raha hai. Isi tarah aurton ka ek ahem jinsi masla adumdakhool ( hai jis mein mubashrat kay doran dakhool na mumkin hota hai, iss masley ka ahem hal bhi musht zani hi hai

Harms Of Masturbation

Mojood ilm aur tehqeeq ki roshni mein yeh baat poorey aetmaad aur da'awey sey ki jasakti hai kay musht zani kay kisi bhi tarah kay koi nuqsaanaat nahin bul kay ba'az mahireen kay mutabiq to musht zani ek mufeed amal hai. Jis sey insaan ko jinsi taskeen, sukoon, raahat (relief) aur tasalli (satisfaction) hasil hoti hai. Jis sey fard ko jismani aur zehni falah (well being) bhi hasil hoti hai. Musht zani (Masturbation) sey sey fard ko wahi isterahat (relaxation) hasil hoti hai jo inssan ko mubashrat ya mazaeydaar khaney kay ba'ad hasil hoti hai, yani aurton aur mardon kay liye musht zani jinsi aur zehni sukoon ka ba'es hai. Mereey bohut sey clients apni tension aur zehni dabau (stress) ko khatam karney kay liye musht zani ka zarya ikhtiyar kartey hain. Iss sey ionko sukoon milta hai, lekin agar fard ko ehsaas-e-gunaah ho to usey jinsi tasalli ) to zaroor hasil hoti hai magar zehni sukoon nahin milta.

Ba'az mahireen ka khayal hai kay musht zani (Masturbation) jinsi ehsasaat (feelings) aur salahiyat (capability) mein izafa karti hai kyun kay Khuda ney insani jism ko kuch iss tarah banaya hai kay iss kay jo hissey zyada istaemaal hotey hain woh zyada mazboot aur sehat mand hotey hain maslan lambi daur, daurney waley afraad ki taangein aam logon sey zyada mazboot, sehatmand aur muscular hongi, isi tarah mushaqqat ki wajah sey ek mazdoor kay bazu aur seena nisbatan zyada mazboot aur muscular hongey. Isi tarah musht zani sey jinsi salahiyat mein izafa hota hai.

Research On Masturbation

Guzishta saddi mein musht zani (Masturbation) kay hawaley sey taraqqi yaafta dunya mein bohut research hui aur abhi tak iss kay kisi tarah kay nuqsaan sabit nahin ho sakey. Iss silsiley mein bunyadi kaam ek American doctor Master ney apni biwi Johnson kay sath mil kar kya. ney taqreeban 22 saal sex kay 14 hazar mukhtalif unwaanaat per research ki. Unn ki research sey bhi yehi baat sabit hui kay musht zani kay kisi bhi tarah kay koi nuqsan nahin.

Ek research mein kuch naujawano'n ko kaee maah tak rozana zyada sey zyada musht zani karney ko kaha gaya. Research kay shuru mein tamam naujawanon kay bohut sey tests kiye gaye. Muqarrara waqt kay ba'ad inn afraad ko inhi tests ki madad sey dobara check kya gaya aur musht zani kay kisi bhi tarah kay burey asraat saamney na aaey.

Ek aur research mein kaee100 afraad per tajurba kya gaya, inn ko din mein kaee baar musht zani karney ko kaha gaya. Kaee maah tak musalsal yeh amal jari raha research ki takmeel per inn afraad kay tests kiye gaye to kisi bhi fard ko koi bhi kharabi ya kamzori na hui.

Kuch reports sey to yeh bhi ma'aloom hua kay jin atheletes ney muqabley sey kuch der pehley musht zani (Masturbation) ki woh relax aur fresh ho gaey aur unhon ney apney qaumi record ko torra. Atheletes aura am logon kay sath aur bhi bohut si shaandaar research jin sey musht zani ki tabaah kaariyon mein sey kuch bhi sach sabit na ho saka.

Mubashrat Aur Musht zani - Intercourse And Masturbation

Chunancha aksar naujawan shadi kay ba'ad zyada sehat mand aur motey ho jatey hain kyun kay mubashrat sey unko jismani aur zehni sukoon aur raahat (relaxation, satisfaction, relief) milti hai. Ma'aloom hua hai kay mani ka ikhraj chahey mubashrat sey ho ya ehtelam sey ya musht zani sey mufeed cheez hai. Aap doodh ko glass mein daal kar pee lein ya bottle mein mu'nh laga kar pee lein ya straw kay sath uss kay asraat achey hi hongey yani doodh har soorat mein mufeed hoga.

Iss silsiley mein ek ahem baat yaad rahey kay jo mani kharij hoti hai uski jagah naee mani paeda ho jati hai, bilkul thook ki tarah, hum thooktey hain to phir thook aa jata hai chahey din mein 100 baar thookein. Zahir hai kay zyada thookney sey sehat per burey asraat nahin parrtey. Isi tarah jab hum kisi ko khoon detey hain to woh 48 ghanton mein poora ho jata hai.

Ba'az logon ka khayal hai kay musht zani sey zakar ki nussein marr jati hain ya ubhar aati hain, jis sey zakar ko nuqsan pohonchta hai, jab kay haqeeqat mein aisa nahin hota. Ek sahib ki naee naee shadi hui unki biwi ki faraj (vagina) bohut tung (tight) thi woh jab bhi mubashrat kartey unn kay zakar ki jild phutt jati yani faraj mubashrat mein ek hudd sey zyada nahin khul sakti, doosrey alfaaz mein faraj ko zakar kay size kay mutabiq (adjust) nahin kya ja sakta. jab kay musht zani mein mutthi aap kay control mein hoti hai aap isey jitna chahey khol lein ya tung kar lein yani musht zani mein aap apni mutthi ko zakar kay size kay mutabiq aasani sey adjust kar saktey hain. Doosrey alfaaz mein musht zani sey zakar ko kisi bhi tarah sey koi nuqsaan nahin pohonch sakta.

Musht zani Aur Depression - Masturbation

Fard shadeed udaasi aur afsurdagi mehsoos karta hai. Iska kisi kaam mein dil nahin lagta, tawajjuh muntashir ho jati hai, chirrchirra pan paeda ho jata hai. Jinsi khwahish ) khatam ho jati hai, fard ki bhook aur neend bhi khatam ho jati hai aur kamzor honay lagta hai, uska wazen kam ho jata hai. Ab fard ko yaqeen aa jata hai kay woh waqaee musht zani ki wajah sey na sirf kamzor aur beemaar ho gaya hai bul kay jinsi tor per bhi khatam ho gaya hai, hala'n kay iski bari wajah tawaqqa aur doosri wajah depression hai na kay musht zani. Kamzori ki ek wajah yeh bhi hoti hai kay musht zani kay ba'ad fard relax ho jata hai jisey woh kamzori samajh leta hai. Hala'n kay yeh sirf relaxation hoti hai na kay kamzori. Aisey naujawan jab kisi 100 sala sanyasi baba kay hatthey charh jatey hain to yeh inko bata kar kay woh jinsi tor per khatam ho chukay hain iss qadar khaufzada kar detey hain kay yeh naujawan ghurbat kay bawajood elaj per hazaron rupey kharch kar detey hain, yeh bangali baba inn naujawanon ko kashtey waghaera detey hain jo aksar muzir hotey hain. Merey aisey ek client ko kashta diya gaya jis sey uss kay gurdey nakaara ho gaey. Sarkari hospitals mein gurdey kay ward mein aksar mareez isi tarah kay hotey hain.

Haqeeqat yeh hai kay mani (semen) ka ikhraj peeshab ki tarah ek normal, mufeed aur sehat mand uzwiati amal hai. Yeh baat iss cheez sey bhi sabit hoti hai kay jab kisi naujawan ki shadi hoti hai

Musht zani Ka Elaj - Masturbation Treatment

Yeh ek dhoka, faraeb aur jhoot hai. Kya zyada bolney sey fard kamzor ho jata hai, ya jo fard kam bolta hai ya khamosh rehta hai woh taqatwer hota hai. Pehli baat to yeh hai kay hudd ka meyar kya hai. Har fard ki hudd doosrey sey mukhtalif hai. Ek fard ki hudd haftey mein ek baar hai jab kay doosrey ki hudd din mein ek baar hai. Ta'hum ek din mein 7/8 baar karna bhi hudd sey guzarna aur zyaditi nahin hai. Haqeeqat yeh hai kay koi bhi insaan fitri tor per hudd sey zyada musht zani (masturbation) nahin kar sakta, kyun kay agar woh hudd sey zyada karey ga to mani (semen) khatam ho jaey gi aur zakar sooj jaey ga. Khusyon mein dard honay lagey ga, zakar sey mani kay bajaey khoon nikalney lagey ga aur infection ki wajah sey zakar mein dard honay lagey ga. Aisa to shayad hi kisi kay sath hua ho. Dilchasp baat yeh hai kay aisi surat mein chund din musht zani chorney sey har cheez normal ho jati hai aur koi mustaqil kharabi paeda nahin hoti, yeh fitrat ka self healing system hai. Yani kisi elaj ki zaroorat nahin. Albatta zyada musht zani aur compulsive musht zani mein farq hai. Compulsive musht zani mein fard baghaer kisi khwahish aur zaroorat kay musht zani karta hai jis tarah ba'az log bar bar hath dhotey hain. Iss surat mein yeh ek nafsiyati beemari hai jis ko OCD kaha jata hai, iss kay liye kisi mahir e nafsiyat sey elaj karaya jaey.

Ta'hem kuch musht zani kay ba'ad kamzori mehsoos kartey hain. Iski bari wajah tawaqqa (expectation) hai jis kla hum zikr kar chukey hain kay jaisa hum sochtey hain waisey hi ho jatey hain. Doosra fard musht zani ki wajah sey shadeed ehsaas e gunah mehsoos karta hai.


Masturbation Is Not Harmful

Hala'n kay haqeeqat yeh hai kay bhook pyas ki tarah jinsi taskeen ek fitri taqaza hai) beenaee kamzor ho jati hai, hafiza khatam ho jata hai, fard chakkar ya sergirani (dizziness) mehsoos karta hai. Mirgi kay daurey partey hain, fard shadeed zehni amraaz (psychosis), dil kay amraaz aur aqal ki kami ka shikar ho jata hai. Mu'nh per daaney nikal aur jism per mokey (warts) aa jatey hain. Fard ganjey pan aur sharmeeley pan mein mubtala ho jata hai. Maghrib aur doosrey taraqqi yafta mumalik mein to jadeed tehqeeq ki roshni mein naujawanon ko ma'aloom ho chukka hai kay musht zani kay muqsan ki koi haqeeqat nahi. Yeh jahalat kay daur ki baatein thiin magar budqismati sey hum abhi tak isi daur mein reh rahey hain.

Musht zani Nuqsandeh Nahin (Masturbation Is Not Harmful)

Haqeeqat yeh hai kay khud lazzati/musht zani kay kisi bhi tarah kay koi burey asraat nahin hain, yani yeh amal fard ki zehni, jismani aur jinsi sehat kay liye hargiz hargiz nuqsandeh nahin. Agar khud lazzati/musht zani waqaee nuqsandeh hoti to aksar logon kay hathon per baal hotey, ser ganjey hotey, chehrey phunsiyon aur daano'n sey bharey hotey. Aksaryat ko mirgi kay daurey partey aur pagal hotey. Ausat umer kam hoti j okay ab 32 saal sey barh kar 56 saal ho chuki hai. Zakar ki laghari aur kaji ki wajah sey aksar mardon ki biwiyan bhaag gaee hotiin. Charon taraf nazar doraein kya waqaee aisa hai, zahir hai kay aisa nahin. Ba'az log kehtey hain ek hudd tak to musht zani kay koi nuqsan nahin magar agar yeh hudd sey barh jaey to phir yeh nuqsandeh hai.